Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar ke waqt

Jaun Eliya

safar ke waqt

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    tumhārī yaad mire dil daaġh hai lekin

    safar ke vaqt to be-tarah yaad aatī ho

    baras baras ho aadat jab hisāb to phir

    bahut satātī ho jānam bahut satātī ho

    maiñ bhuul jā.ūñ magar kaise bhuul jā.ūñ bhalā

    azāb-e-jāñ haqīqat apnī afsāna

    mire safar ke vo lamhe tumhārī pur-hālī

    vo baat baat mujhe baar baar samjhānā

    ye pāñch kurte haiñ dekho ye pāñch pājāme

    Dale hue haiñ qamar-bañd in meñ aur dekho

    ye shave-box hai aur ye hai old spice

    nahīñ huzūr jhoñjal ab koī baa.is

    ye Diary hai aur is meñ pate haiñ aur number

    ise ḳhayāl se bakse jeb meñ rakhnā

    hai arz ''hazrat-e-ġhā.eb-dimāġh'' bandī

    ki apne aib hālat ko ġhaib meñ rakhnā

    ye tiin coat haiñ patlūn haiñ ye Tā.iyāñ haiñ

    bañdhī huī haiñ ye sab tum ko kuchh nahīñ karnā

    ye william hai 'onTal' hai aur 'TarpaTī-nāl'

    tum in ke saath mirī jaañ drink se Darnā

    bahut ziyāda na piinā ki kuchh na yaad aa.e

    jo lucknow meñ huā thā vo ab dobāra na ho

    ho tum suḳhan anā aur tamkanat jānam

    mazāq kisī 'inshā' ko tum se yaarā na ho

    vo 'jaun' jo nazar aatā hai us zikr nahīñ

    tum apne 'jaun' jo tum meñ hai bharam rakhnā

    ajiib baat hai jo tum se kah rahī huuñ maiñ

    ḳhayāl merā ziyāda aur apnā kam rakhnā

    ho tum balā ke baġhāvat-pasand talḳh-kalām

    ḳhud apne haq meñ ik āzār ho ga.e ho tum

    tumhāre saare sahāba ne tum ko chhoḌ diyā

    mujhe qalaq hai ki be-yār ho ga.e ho tum

    ye bank-kār manager ye apne technocrat

    koī bhī shub.h nahīñ haiñ ye ek abas ThiThol

    maiñ ḳhud bhī in ko cro-magnon samajhtī huuñ

    ye shāndār janāvar haiñ daftaroñ maḳhaul

    maiñ jāntī huuñ ki tum sun nahīñ rahe mirī baat

    samāj jhuuT sahī phir bhī us paas karo

    hai tum ko taish hai bālishtiyoñ ye duniyā

    to phir qarīne se tum un ko be-libās karo

    tum ek saada o barjasta aadmī Thahre

    mizāj-e-vaqt ko tum aaj tak nahīñ samjhe

    jo chiiz sab se zarūrī hai vo maiñ bhuul ga.ī

    ye passport hai is ko sambhāl ke rakhnā

    jo ye na ho to ḳhudā bhī bashar tak aa na sake

    so tum shu.ūr apne kamāl kar rakhnā

    mirī shikast ke zaḳhmoñ sozish-e-jāved

    nahīñ rahā mire zaḳhmoñ ab hisāb koī

    hai ab jo haal mirā vo ajab tamāshā hai

    mirā azaab nahīñ ab mirā azaab koī

    nahīñ koī mirī manzil pe hai safar darpesh

    hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh

    tumhaari yaad mere dil ka dagh hai lekin

    safar ke waqt to be-tarah yaad aati ho

    baras baras ki ho aadat ka jab hisab to phir

    bahut satati ho jaanam bahut satati ho

    main bhul jaun magar kaise bhul jaun bhala

    azab-e-jaan ki haqiqat ka apni afsana

    mere safar ke wo lamhe tumhaari pur-haali

    wo baat baat mujhe bar bar samjhana

    ye panch kurte hain dekho ye panch pajame

    Dale hue hain qamar-band in mein aur dekho

    ye shawe-box hai aur ye hai old spice

    nahin huzur ki jhonjal ka ab koi bais

    ye Diary hai aur is mein pate hain aur number

    ise KHayal se bakse ki jeb mein rakhna

    hai arz hazrat-e-ghaeb-dimagh bandi ki

    ki apne aib ki haalat ko ghaib mein rakhna

    ye tin coat hain patlun hain ye Taiyan hain

    bandhi hui hain ye sab tum ko kuchh nahin karna

    ye william hai 'onTal' hai aur 'TarpaTi-nal'

    tum in ke sath meri jaan drink se Darna

    bahut ziyaada na pina ki kuchh na yaad aae

    jo lucknow mein hua tha wo ab dobara na ho

    ho tum suKHan ki ana aur tamkanat jaanam

    mazaq ka kisi 'insha' ko tum se yara na ho

    wo 'jaun' jo nazar aata hai us ka zikr nahin

    tum apne 'jaun' ka jo tum mein hai bharam rakhna

    ajib baat hai jo tum se kah rahi hun main

    KHayal mera ziyaada aur apna kam rakhna

    ho tum bala ke baghawat-pasand talKH-kalam

    KHud apne haq mein ek aazar ho gae ho tum

    tumhaare sare sahaba ne tum ko chhoD diya

    mujhe qalaq hai ki be-yar ho gae ho tum

    ye bank-kar manager ye apne technocrat

    koi bhi shubh nahin hain ye ek abas ka ThiThol

    main KHud bhi in ko cro-magnon samajhti hun

    ye shandar janawar hain daftaron ka maKHaul

    main jaanti hun ki tum sun nahin rahe meri baat

    samaj jhuT sahi phir bhi us ka pas karo

    hai tum ko taish hai baalishtiyon ki ye duniya

    to phir qarine se tum un ko be-libas karo

    tum ek sada o barjasta aadmi Thahre

    mizaj-e-waqt ko tum aaj tak nahin samjhe

    jo chiz sab se zaruri hai wo main bhul gai

    ye passport hai is ko sambhaal ke rakhna

    jo ye na ho to KHuda bhi bashar tak aa na sake

    so tum shuur ka apne kamal kar rakhna

    meri shikast ke zaKHmon ki sozish-e-jawed

    nahin raha mere zaKHmon ka ab hisab koi

    hai ab jo haal mera wo ajab tamasha hai

    mera azab nahin ab mera azab koi

    nahin koi meri manzil pe hai safar darpesh

    hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh

    Source :
    • Book : yani (Pg. 168)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now