Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek laDka

Akhtarul Iman

ek laDka

Akhtarul Iman

dayār-e-sharq ābādiyoñ ke ūñche Tīloñ par

kabhī aamoñ ke bāġhoñ meñ kabhī khetoñ meñDoñ par

kabhī jhīloñ ke paanī meñ kabhī bastī galiyoñ meñ

kabhī kuchh niim uryāñ kam-sinoñ rañg-raliyoñ meñ

sahar-dam jhuTpuTe ke vaqt rātoñ ke añdhere meñ

kabhī meloñ meñ nāTak-Toliyoñ meñ un ke Dere meñ

ta.āqub meñ kabhī gum titliyoñ ke suunī rāhoñ meñ

kabhī nanhe parindoñ nahufta ḳhvāb-gāhoñ meñ

barhana paañv jaltī ret yaḳh-basta havāoñ meñ

gurezāñ bastiyoñ se madrasoñ se ḳhānqāhoñ meñ

kabhī ham-sin hasīnoñ meñ bahut ḳhush-kām o dil-rafta

kabhī pechāñ bagūla saañ kabhī jyuuñ chashm-e-ḳhūñ-basta

havā meñ tairtā ḳhvāboñ meñ bādal tarah uḌtā

parindoñ tarah shāḳhoñ meñ chhup kar jhūltā muḌtā

mujhe ik laḌkā āvāra-manush āzād sailānī

mujhe ik laḌkā jaise tund chashmoñ ravāñ paanī

nazar aatā hai yuuñ lagtā hai jaise ye balā-e-jāñ

mirā ham-zād hai har gaam par har moḌ par jaulāñ

ise ham-rāh paatā huuñ ye saa.e tarah merā

ta.āqub kar rahā hai jaise maiñ mafrūr mulzim huuñ

ye mujh se pūchhtā hai aḳhtar-ul-īmān tum ho

ḳhudā-e-izz-o-jal nematoñ mo'tarif huuñ maiñ

mujhe iqrār hai us ne zamīñ ko aise phailāyā

ki jaise bistar-e-kam-ḳhvāb ho dībā-o-maḳhmal ho

mujhe iqrār hai ye ḳhema-e-aflāk saaya

usī baḳhshisheñ haiñ us ne sūraj chāñd tāroñ ko

fazāoñ meñ sañvārā ik had-e-fāsil muqarrar

chaTāneñ chiir kar dariyā nikāle ḳhāk-e-asfal se

mirī taḳhlīq mujh ko jahāñ pāsbānī

samundar motiyoñ mūñgoñ se kāneñ la.al-o-gauhar se

havā.eñ mast-kun ḳhushbuoñ se ma.amūr kar haiñ

vo hākim qādir-e-mutlaq hai yaktā aur daanā hai

añdhere ko ujāle se judā kartā hai ḳhud ko maiñ

agar pahchāntā huuñ us rahmat aur saḳhāvat hai

usī ne khusravī hai la.īmoñ ko mujhe nakbat

usī ne yāva-goyoñ ko mirā ḳhāzin banāyā hai

tavañgar hirzah-kāroñ ko kiyā daryūza-gar mujh ko

magar jab jab kisī ke sāmne dāman pasārā hai

ye laḌkā pūchhtā hai aḳhtar-ul-īmān tum ho

ma.īshat dūsroñ ke haath meñ hai mere qabze meñ

juz ik zehn-e-rasā kuchh bhī nahīñ phir bhī magar mujh ko

ḳharosh-e-umr ke itmām tak ik baar uThānā hai

anāsir muntashir ho jaane nabzeñ Duub jaane tak

navā-e-sub.h ho nāla-e-shab kuchh bhī gaanā hai

zafar-mandoñ ke aage rizq tahsīl ḳhātir

kabhī apnā naġhma un kah kar muskurānā hai

vo ḳhāma-sozī shab-bedāriyoñ jo natīja ho

use ik khoTe sikke tarah sab ko dikhānā hai

kabhī jab sochtā huuñ apne baare meñ to kahtā huuñ

ki ik aabla hai jis ko āḳhir phuuT jaanā hai

ġharaz gardāñ huuñ bād-e-sub.h-gāhī tarah lekin

sahar aarzū meñ shab dāman thāmtā huuñ jab

ye laḌkā pūchhtā hai aḳhtar-ul-īmān tum ho

ye laḌkā pūchhtā hai jab to maiñ jhallā ke kahtā huuñ

vo āshufta-mizāj andoh-parvar iztirāb-āsā

jise tum pūchhte rahte ho kab mar chukā zālim

use ḳhud apne hāthoñ se kafan de kar fareboñ

isī ārzūoñ lahad meñ pheñk aayā huuñ

maiñ us laḌke se kahtā huuñ vo sho.ala mar chukā jis ne

kabhī chāhā thā ik ḳhāshāk-e-ālam phūñk Dālegā

ye laḌkā muskurātā hai ye āhista se kahtā hai

ye kizb-o-iftirā hai jhuuT hai dekho maiñ zinda huuñ

dayar-e-sharq ki aabaadiyon ke unche Tilon par

kabhi aamon ke baghon mein kabhi kheton ki meinDon par

kabhi jhilon ke pani mein kabhi basti ki galiyon mein

kabhi kuchh nim uryan kam-sinon ki rang-raliyon mein

sahar-dam jhuTpuTe ke waqt raaton ke andhere mein

kabhi melon mein naTak-Toliyon mein un ke Dere mein

taaqub mein kabhi gum titliyon ke suni rahon mein

kabhi nanhe parindon ki nahufta KHwab-gahon mein

barhana panw jalti ret yaKH-basta hawaon mein

gurezan bastiyon se madrason se KHanqahon mein

kabhi ham-sin hasinon mein bahut KHush-kaam o dil-rafta

kabhi pechan bagula san kabhi jyun chashm-e-KHun-basta

hawa mein tairta KHwabon mein baadal ki tarah uDta

parindon ki tarah shaKHon mein chhup kar jhulta muDta

mujhe ek laDka aawara-manush aazad sailani

mujhe ek laDka jaise tund chashmon ka rawan pani

nazar aata hai yun lagta hai jaise ye bala-e-jaan

mera ham-zad hai har gam par har moD par jaulan

ise ham-rah pata hun ye sae ki tarah mera

taaqub kar raha hai jaise main mafrur mulzim hun

ye mujh se puchhta hai aKHtar-ul-iman tum hi ho

KHuda-e-izz-o-jal ki nematon ka mo'tarif hun main

mujhe iqrar hai us ne zamin ko aise phailaya

ki jaise bistar-e-kam-KHwab ho diba-o-maKHmal ho

mujhe iqrar hai ye KHema-e-aflak ka saya

usi ki baKHshishen hain us ne suraj chand taron ko

fazaon mein sanwara ek had-e-fasil muqarrar ki

chaTanen chir kar dariya nikale KHak-e-asfal se

meri taKHliq ki mujh ko jahan ki pasbani di

samundar motiyon mungon se kanen lal-o-gauhar se

hawaen mast-kun KHushbuon se mamur kar di hain

wo hakim qadir-e-mutlaq hai yakta aur dana hai

andhere ko ujale se juda karta hai KHud ko main

agar pahchanta hun us ki rahmat aur saKHawat hai

usi ne khusrawi di hai laimon ko mujhe nakbat

usi ne yawa-goyon ko mera KHazin banaya hai

tawangar hirzah-karon ko kiya daryuza-gar mujh ko

magar jab jab kisi ke samne daman pasara hai

ye laDka puchhta hai aKHtar-ul-iman tum hi ho

maishat dusron ke hath mein hai mere qabze mein

juz ek zehn-e-rasa kuchh bhi nahin phir bhi magar mujh ko

KHarosh-e-umr ke itmam tak ek bar uThana hai

anasir muntashir ho jaane nabzen Dub jaane tak

nawa-e-subh ho ya nala-e-shab kuchh bhi gana hai

zafar-mandon ke aage rizq ki tahsil ki KHatir

kabhi apna hi naghma un ka kah kar muskurana hai

wo KHama-sozi shab-bedariyon ka jo natija ho

use ek khoTe sikke ki tarah sab ko dikhana hai

kabhi jab sochta hun apne bare mein to kahta hun

ki tu ek aabla hai jis ko aaKHir phuT jaana hai

gharaz gardan hun baad-e-subh-gahi ki tarah lekin

sahar ki aarzu mein shab ka daman thamta hun jab

ye laDka puchhta hai aKHtar-ul-iman tum hi ho

ye laDka puchhta hai jab to main jhalla ke kahta hun

wo aashufta-mizaj andoh-parwar iztirab-asa

jise tum puchhte rahte ho kab ka mar chuka zalim

use KHud apne hathon se kafan de kar farebon ka

isi ki aarzuon ki lahad mein phenk aaya hun

main us laDke se kahta hun wo shoala mar chuka jis ne

kabhi chaha tha ek KHashak-e-alam phunk Dalega

ye laDka muskuraata hai ye aahista se kahta hai

ye kizb-o-iftira hai jhuT hai dekho main zinda hun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Akhtarul Iman

Akhtarul Iman

Danish Iqbal

Danish Iqbal

RECITATIONS

Akhtarul Iman

Akhtarul Iman,

Atif Bloch

Atif Bloch,

Akhtarul Iman

ek laDka Akhtarul Iman

Atif Bloch

ek la.Dkaa Atif Bloch

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now