Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ka paradox

Binyamin Muztarib

mohabbat ka paradox

Binyamin Muztarib

MORE BYBinyamin Muztarib

    mujhe us kī mohabbat ne bahut uljhan meñ Daalā hai

    mujhe ik din kahā us ne

    badal kar 'ādateñ apnī

    maiñ ab mahsūs kartā huuñ

    jo maiñ thā ab nahīñ huuñ maiñ

    nayā ik shaḳhs huuñ ab maiñ

    batāo kyā vahī huuñ maiñ

    agar maiñ huuñ vahī to phir ḳhushī to bojh thī mujh par

    magar maiñ muskurātā huuñ

    mohabbat thī kitāboñ se

    kitābeñ ab nahīñ paḌhtā

    agar maiñ vo nahīñ huuñ to pukārā jā rahā huuñ kyoñ

    purāne naam se ab bhī

    mire naqsh-o-nigār ab bhī

    mire hamnām jaise haiñ

    bahut uljhan meñ Daalā hai mujhe us kī mohabbat ne

    kabhī bhī hal nahīñ hogā

    mohabbat kā ye paradox

    mujhe us ki mohabbat ne bahut uljhan mein Dala hai

    mujhe ek din kaha us ne

    badal kar 'adaten apni

    main ab mahsus karta hun

    jo main tha ab nahin hun main

    naya ek shaKHs hun ab main

    batao kya wahi hun main

    agar main hun wahi to phir KHushi to bojh thi mujh par

    magar main muskuraata hun

    mohabbat thi kitabon se

    kitaben ab nahin paDhta

    agar main wo nahin hun to pukara ja raha hun kyon

    purane nam se ab bhi

    mere naqsh-o-nigar ab bhi

    mere hamnam jaise hain

    bahut uljhan mein Dala hai mujhe us ki mohabbat ne

    kabhi bhi hal nahin hoga

    mohabbat ka ye paradox

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now