Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ustad hamare

Mohammad Asadullah

ustad hamare

Mohammad Asadullah

ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre

in se haiñ afrād ziyā-bār hamāre

jiine salīqa bhī hameñ in se milā hai

ehsās-e-amal fikr bhī in atā hai

in hai ta.alīm jo irfān-e-ḳhudā hai

in se mo.attar hue afkār hamāre

ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre

tārīk hoñ rāheñ to yahī raah sujhā.eñ

asrār-e-do-ālam se ye pardoñ ko uThā.eñ

soī huī qaumoñ meñ ye himmat ko jagā.eñ

rahbar bhī ye hamdam bhī ye ġham-ḳhvār hamāre

ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre

ik nuur mīnār lab-e-sāhil-e-dariyā

ik mash.al-e-bedār sar-e-vādī-e-sahrā

hai zulmat-e-āfāq meñ bas ek sitāra

haiñ dast-nigar in ke shahkār hamāre

ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre

ustad ye qaumon ke hain meamar hamare

in hi se hain afrad ziya-bar hamare

jine ka saliqa bhi hamein in se mila hai

ehsas-e-amal fikr bhi in hi ki ata hai

in hi ki hai talim jo irfan-e-KHuda hai

in hi se moattar hue afkar hamare

ustad ye qaumon ke hain meamar hamare

tarik hon rahen to yahi rah sujhaen

asrar-e-do-alam se ye pardon ko uThaen

soi hui qaumon mein ye himmat ko jagaen

rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-KHwar hamare

ustad ye qaumon ke hain meamar hamare

ek nur ka minar lab-e-sahil-e-dariya

ek mashal-e-bedar sar-e-wadi-e-sahra

hai zulmat-e-afaq mein bas ek sitara

hain dast-nigar in ke hi shahkar hamare

ustad ye qaumon ke hain meamar hamare

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now