bas ek andaza
baras guzre tumheñ so.e hue
uTh jaao suntī ho ab uTh jaao
maiñ aayā huuñ
maiñ andāze se samjhā huuñ
yahāñ soī huī ho tum
yahāñ rū-e-zamīñ ke is maqām-e-āsmānī-tar kī had meñ
bād-hā-e-tund ne
mere liye bas ek andāza hī chhoḌā hai!
baras guzre tumhein soe hue
uTh jao sunti ho ab uTh jao
main aaya hun
main andaze se samjha hun
yahan soi hui ho tum
yahan ru-e-zamin ke is maqam-e-asmani-tar ki had mein
baad-ha-e-tund ne
mere liye bas ek andaza hi chhoDa hai!
- Book : shayad (Pg. 62)
- Author : jaun eliya
- Publication : kitabi duniya (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.