Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farz karo

Ibn e Insha

farz karo

Ibn e Insha

farz karo ham ahl-e-vafā hoñ, farz karo dīvāne hoñ

farz karo ye donoñ bāteñ jhūTī hoñ afsāne hoñ

farz karo ye biptā se joḌ sunā.ī ho

farz karo abhī aur ho itnī aadhī ham ne chhupā.ī ho

farz karo tumheñ ḳhush karne ke DhūñDhe ham ne bahāne hoñ

farz karo ye nain tumhāre sach-much ke mai-ḳhāne hoñ

farz karo ye rog ho jhūTā jhūTī piit hamārī ho

farz karo is piit ke rog meñ saañs bhī ham par bhārī ho

farz karo ye jog ba-jog ham ne Dhoñg rachāyā ho

farz karo bas yahī haqīqat baaqī sab kuchh maayā ho

dekh mirī jaañ kah ga.e baahū kaun diloñ jaane 'huu'

bastī bastī sahrā sahrā lākhoñ kareñ divāne 'huu'

jogī bhī jo nagar nagar meñ maare maare phirte haiñ

kaasa liye bhabūt ramā.e sab ke dvāre phirte haiñ

shā.ir bhī jo mīThī baanī bol ke man ko harte haiñ

banjāre jo ūñche dāmoñ ke saude karte haiñ

in meñ sachche motī bhī haiñ, in meñ kankar patthar bhī

in meñ uthle paanī bhī haiñ, in meñ gahre sāgar bhī

gorī dekh ke aage baḌhnā sab jhūTā sachchā 'huu'

Dūbne vaalī Duub ga.ī vo ghaḌā thā jis kachchā 'huu'

farz karo hum ahl-e-wafa hon, farz karo diwane hon

farz karo ye donon baaten jhuTi hon afsane hon

farz karo ye ji ki bipta ji se joD sunai ho

farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupai ho

farz karo tumhein KHush karne ke DhunDhe hum ne bahane hon

farz karo ye nain tumhaare sach-much ke mai-KHane hon

farz karo ye rog ho jhuTa jhuTi pit hamari ho

farz karo is pit ke rog mein sans bhi hum par bhaari ho

farz karo ye jog ba-jog ka hum ne Dhong rachaya ho

farz karo bas yahi haqiqat baqi sab kuchh maya ho

dekh meri jaan kah gae bahu kaun dilon ki jaane 'hu'

basti basti sahra sahra lakhon karen diwane 'hu'

jogi bhi jo nagar nagar mein mare mare phirte hain

kasa liye bhabut ramae sab ke dware phirte hain

shair bhi jo miThi bani bol ke man ko harte hain

banjare jo unche damon ji ke saude karte hain

in mein sachche moti bhi hain, in mein kankar patthar bhi

in mein uthle pani bhi hain, in mein gahre sagar bhi

gori dekh ke aage baDhna sab ka jhuTa sachcha 'hu'

Dubne wali Dub gai wo ghaDa tha jis ka kachcha 'hu'

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Fahad

Fahad

Ibn e Insha

Ibn e Insha

Unknown

Unknown

Chaya Ganguly

Chaya Ganguly

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

Farz karo - Ibn-e-insha Fahad Husain

Source :
  • Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 23)
  • Author : ibn-e-insha
  • Publication : Akif Book Depo Daryaganj New Delhi (2009)
  • Edition : 2009

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now