naya sal
zindagī ik kitāb hai jis ke
lafz lamhe haiñ
mīThe
kaḌve bhī
jumle ghaḌiyāñ haiñ
sahl
mushkil bhī
satreñ din haiñ
bure bhī
achchhe bhī
maah aurāq
ḳhashmagīñ
dam-sāz
saal abvāb
zaḳhm
marham bhī
had to ye hai ki ye adhūrī hai
āḳhrī aur avvalīñ safhāt
jaane kis tīrgī meñ kho.e haiñ
kaise ġhā.eb hue nahīñ mā'lūm
un kī bas dāstāñ sī baaqī hai
aur ye vo kitāb hai jis ko
har koī darmiyāñ se paḌhtā hai
maiñ ne aaj ek baab paḌh Daalā
zindagi ek kitab hai jis ke
lafz lamhe hain
miThe
kaDwe bhi
jumle ghaDiyan hain
sahl
mushkil bhi
satren din hain
bure bhi
achchhe bhi
mah auraq
KHashmagin
dam-saz
sal abwab
zaKHm
marham bhi
had to ye hai ki ye adhuri hai
aaKHri aur awwalin safhat
jaane kis tirgi mein khoe hain
kaise ghaeb hue nahin ma'lum
un ki bas dastan si baqi hai
aur ye wo kitab hai jis ko
har koi darmiyan se paDhta hai
main ne aaj ek bab paDh Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.