ghar
ghar jahāñ gūñjtī hai kilkārī
ghar jahāñ kheltī hai vo pyārī
ghar jahāñ shāntī hai chain bhī hai
ghar jahāñ 'aks-e-nūr-e-'ain bhī hai
ghar jahāñ pālne meñ hai bachpan
ghar jahāñ zindagī hai ik darpan
ghar jahāñ ḳhushbuoñ kā Derā hai
ghar jahāñ har gulāb merā hai
ghar jahāñ raushnī barastī hai
ghar jahāñ rang-e-kaif-o-mastī hai
ghar jahāñ har ḳhushī mayassar hai
ghar jahāñ ruuh tak mo'attar hai
ghar jahāñ vāldain rahte haiñ
ghar jahāñ pyaar dhāre bahte haiñ
ghar jahāñ muskurā.eñ bhaa.ī bahan
ghar jahāñ duur ho har ek thakan
ghar jahāñ ġham ḳhushī meñ Dhal jaa.e
ghar jahāñ ġham kā dam nikal jaa.e
ghar jahāñ ke liye kamāyā jaa.e
ghar jahāñ jā ke phir na aayā jaa.e
ghar jahan gunjti hai kilkari
ghar jahan khelti hai wo pyari
ghar jahan shanti hai chain bhi hai
ghar jahan 'aks-e-nur-e-'ain bhi hai
ghar jahan palne mein hai bachpan
ghar jahan zindagi hai ek darpan
ghar jahan KHushbuon ka Dera hai
ghar jahan har gulab mera hai
ghar jahan raushni barasti hai
ghar jahan rang-e-kaif-o-masti hai
ghar jahan har KHushi mayassar hai
ghar jahan ruh tak mo'attar hai
ghar jahan waldain rahte hain
ghar jahan pyar dhaare bahte hain
ghar jahan muskuraen bhai bahan
ghar jahan dur ho har ek thakan
ghar jahan gham KHushi mein Dhal jae
ghar jahan gham ka dam nikal jae
ghar jahan ke liye kamaya jae
ghar jahan ja ke phir na aaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.