almiya
maiñ is raah par jab chalā thā to maiñ thā
mujhe apne baare meñ sab kuchh pata thā
yaqīñ thā ki ye rāsta maiñ ne ḳhud hī chunā hai
mire faisle mere apne haiñ aur maiñ
inheñ jis tarah jab bhī chāhūñ badal duuñ
maiñ saḌkoñ pe phirtī huī bhiiḌ se bhī alag huuñ
magar aaj is bhiiḌ meñ kho gayā huuñ
har ik milne vaale se ye pūchhtā huuñ
maiñ kyā huuñ kahāñ huuñ
magar sab hī chup ḳhud meñ kho.e hue haiñ
main is rah par jab chala tha to main tha
mujhe apne bare mein sab kuchh pata tha
yaqin tha ki ye rasta main ne KHud hi chuna hai
mere faisle mere apne hain aur main
inhen jis tarah jab bhi chahun badal dun
main saDkon pe phirti hui bhiD se bhi alag hun
magar aaj is bhiD mein kho gaya hun
har ek milne wale se ye puchhta hun
main kya hun kahan hun
magar sab hi chup KHud mein khoe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.