Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saza

Jaun Eliya

saza

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    har baar mere sāmne aatī rahī ho tum

    har baar tum se mil ke bichhaḌtā rahā huuñ maiñ

    tum kaun ho ye ḳhud bhī nahīñ jāntī ho tum

    maiñ kaun huuñ ye ḳhud bhī nahīñ jāntā huuñ maiñ

    tum mujh ko jaan kar paḌī ho azaab meñ

    aur is tarah ḳhud apnī sazā ban gayā huuñ maiñ

    tum jis zamīn par ho maiñ us ḳhudā nahīñ

    pas sar-ba-sar aziyyat o āzār raho

    bezār ho ga.ī ho bahut zindagī se tum

    jab bas meñ kuchh nahīñ hai to bezār raho

    tum ko yahāñ ke saaya o partav se kyā ġharaz

    tum apne haq meñ biich dīvār raho

    maiñ ibtidā-e-ishq se be-mehr rahā

    tum intihā-e-ishq me.aar raho

    tum ḳhuun thūktī ho ye sun kar ḳhushī huī

    is rañg is adā meñ bhī purkār raho

    maiñ ne ye kab kahā thā mohabbat meñ hai najāt

    maiñ ne ye kab kahā thā vafādār raho

    apnī matā-e-nāz luTā kar mire liye

    bāzār-e-iltifāt meñ nādār raho

    jab maiñ tumheñ nashāt-e-mohabbat na de sakā

    ġham meñ kabhī sukūn-e-rifāqat na de sakā

    jab mere sab charāġh-e-tamannā havā ke haiñ

    jab mere saare ḳhvāb kisī bevafā ke haiñ

    phir mujh ko chāhne tumheñ koī haq nahīñ

    tanhā karāhne tumheñ koī haq nahīñ

    har bar mere samne aati rahi ho tum

    har bar tum se mil ke bichhaDta raha hun main

    tum kaun ho ye KHud bhi nahin jaanti ho tum

    main kaun hun ye KHud bhi nahin jaanta hun main

    tum mujh ko jaan kar hi paDi ho azab mein

    aur is tarah KHud apni saza ban gaya hun main

    tum jis zamin par ho main us ka KHuda nahin

    pas sar-ba-sar aziyyat o aazar hi raho

    bezar ho gai ho bahut zindagi se tum

    jab bas mein kuchh nahin hai to bezar hi raho

    tum ko yahan ke saya o partaw se kya gharaz

    tum apne haq mein bich ki diwar hi raho

    main ibtida-e-ishq se be-mehr hi raha

    tum intiha-e-ishq ka mear hi raho

    tum KHun thukti ho ye sun kar KHushi hui

    is rang is ada mein bhi purkar hi raho

    main ne ye kab kaha tha mohabbat mein hai najat

    main ne ye kab kaha tha wafadar hi raho

    apni mata-e-naz luTa kar mere liye

    bazar-e-iltifat mein nadar hi raho

    jab main tumhein nashat-e-mohabbat na de saka

    gham mein kabhi sukun-e-rifaqat na de saka

    jab mere sab charagh-e-tamanna hawa ke hain

    jab mere sare KHwab kisi bewafa ke hain

    phir mujh ko chahne ka tumhein koi haq nahin

    tanha karahne ka tumhein koi haq nahin

    Source :
    • Book : shayad (Pg. 70)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now