Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya

Faiz Ahmad Faiz

kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya

Faiz Ahmad Faiz

kuchh ishq kiyā kuchh kaam kiyā

vo log bahut ḳhush-qismat the

jo ishq ko kaam samajhte the

kaam se āshiqī karte the

ham jīte-jī masrūf rahe

kuchh ishq kiyā kuchh kaam kiyā

kaam ishq ke aaḌe aatā rahā

aur ishq se kaam ulajhtā rahā

phir āḳhir tañg aa kar ham ne

donoñ ko adhūrā chhoḌ diyā

kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya

wo log bahut KHush-qismat the

jo ishq ko kaam samajhte the

ya kaam se aashiqi karte the

hum jite-ji masruf rahe

kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya

kaam ishq ke aaDe aata raha

aur ishq se kaam ulajhta raha

phir aaKHir tang aa kar hum ne

donon ko adhura chhoD diya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Jaswinder Singh

Jaswinder Singh

Unknown

Unknown

Source :
  • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 554)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now