ehsas
raat har roz siyah-fām bhikāran kī tarah
haath meñ kāsa-e-tārīk liye aatī hai
hasb-e-mā'mūl sitāroñ ko du'ā detī hai
aur ro ro ke ujāloñ ko sadā detī hai
chāñd jaise kisī be-tāj shahanshah kī tarah
sun ke fariyād añdhere se nikal aatā hai
aur phir kāsa-e-shab nuur se bhar jaatā hai
raat ḳhush hotī hai māñge kā ujālā pā kar
chāñd ye soch ke rū-posh huā jaatā hai
mere dāman meñ bhī māñge kā ujālā hī to hai
raat har roz siyah-fam bhikaran ki tarah
hath mein kasa-e-tarik liye aati hai
hasb-e-ma'mul sitaron ko du'a deti hai
aur ro ro ke ujalon ko sada deti hai
chand jaise kisi be-taj shahanshah ki tarah
sun ke fariyaad andhere se nikal aata hai
aur phir kasa-e-shab nur se bhar jata hai
raat KHush hoti hai mange ka ujala pa kar
chand ye soch ke ru-posh hua jata hai
mere daman mein bhi mange ka ujala hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.