bachche ki dua
Interesting Fact
dedicated to children ( extracted )
lab pe aatī hai duā ban ke tamannā merī
zindagī sham.a kī sūrat ho ḳhudāyā merī!
duur duniyā kā mire dam se añdherā ho jaa.e!
har jagah mere chamakne se ujālā ho jaa.e!
ho mire dam se yūñhī mere vatan kī zīnat
jis tarah phuul se hotī hai chaman kī zīnat
zindagī ho mirī parvāne kī sūrat yā-rab
ilm kī sham.a se ho mujh ko mohabbat yā-rab
ho mirā kaam ġharīboñ kī himāyat karnā
dard-mandoñ se za.īfoñ se mohabbat karnā
mire allāh! burā.ī se bachānā mujh ko
nek jo raah ho us rah pe chalānā mujh ko
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
zindagi shama ki surat ho KHudaya meri!
dur duniya ka mere dam se andhera ho jae!
har jagah mere chamakne se ujala ho jae!
ho mere dam se yunhi mere watan ki zinat
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat
zindagi ho meri parwane ki surat ya-rab
ilm ki shama se ho mujh ko mohabbat ya-rab
ho mera kaam gharibon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna
mere allah! burai se bachana mujh ko
nek jo rah ho us rah pe chalana mujh ko
- Book : کلیات اقبال (Pg. 34)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.