Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mirza ghaalib

Kaif Ahmed Siddiqui

mirza ghaalib

Kaif Ahmed Siddiqui

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'

    apne fan meñ baḌe hushyār the mirzā 'ġhālib'

    aap naam asadullāh thā nau-shāh laqab

    mirzā ġhālib se hue baad meñ mārūf-e-adab

    aaj bhī paḌh ke kalām aap hairat meñ haiñ sab

    zulf-e-urdu meñ giraftār the mirzā ġhālib

    mādar-e-hind ke fankār the mirzā ġhālib

    akbarabad meñ paidā hue dehlī meñ rahe

    ahd-e-tiflī se duniyā ke baḌe zulm sahe

    ab bhī har ahl-e-suḳhan aap ko ustād kahe

    saare sho.arā ke alam-dār the mirzā ġhālib

    mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'

    tañg-dastī meñ bhī chhoḌā na vafā dāman

    muflisī meñ bhī na apnā.e ḳhushāmad ke chalan

    ḳhūn-e-jazbāt se shādāb kiyā bāġh-e-suḳhan

    fitratan shā.er-e-ḳhuddār the mirzā 'ġhālib'

    mādar-e-hind ke fankār the mirzā ġhālib

    aap par fārsī sho.arā bhī thā ḳhuub asar

    mas.ala ḳhidmat-e-urdu bhī thā pesh-e-nazar

    apne ash.ār azmat se bhī vāqif the magar

    'mīr' ke bhī taraf-dār the mirzā 'ġhālib'

    mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'

    ḳhat-navīsī diyā ek anokhā andāz

    guuñj uThī bazm-e-adab meñ ye nirālī āvāz

    aap maidān-e-suḳhan meñ bhī the sab se mumtāz

    saath ik baḌe nassār the mirzā 'ġhālib'

    mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'

    be-niyāz-e-ġham-o-ālām har ik fikr se duur

    ho musībat meñ bhī rahte the hamesha masrūr

    aaj bhī jin ke latīfe haiñ jahāñ meñ mash.hūr

    muskurāte hue kirdār the mirzā 'ġhālib'

    mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'

    madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'

    apne fan mein baDe hushyar the mirza 'ghaalib'

    aap ka nam asadullah tha nau-shah laqab

    mirza ghaalib se hue baad mein maruf-e-adab

    aaj bhi paDh ke kalam aap ka hairat mein hain sab

    zulf-e-urdu mein giraftar the mirza ghaalib

    madar-e-hind ke fankar the mirza ghaalib

    akbarabad mein paida hue dehli mein rahe

    ahd-e-tifli hi se duniya ke baDe zulm sahe

    ab bhi har ahl-e-suKHan aap ko ustad kahe

    sare shoara ke alam-dar the mirza ghaalib

    madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'

    tang-dasti mein bhi chhoDa na wafa ka daman

    muflisi mein bhi na apnae KHushamad ke chalan

    KHun-e-jazbaat se shadab kiya bagh-e-suKHan

    fitratan shaer-e-KHuddar the mirza 'ghaalib'

    madar-e-hind ke fankar the mirza ghaalib

    aap par farsi shoara ka bhi tha KHub asar

    masala KHidmat-e-urdu ka bhi tha pesh-e-nazar

    apne ashaar ki azmat se bhi waqif the magar

    'mir' ji ke bhi taraf-dar the mirza 'ghaalib'

    madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'

    KHat-nawisi ka diya ek anokha andaz

    gunj uThi bazm-e-adab mein ye nirali aawaz

    aap maidan-e-suKHan mein bhi the sab se mumtaz

    sath hi ek baDe nassar the mirza 'ghaalib'

    madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'

    be-niyaz-e-gham-o-alam har ek fikr se dur

    ho musibat mein bhi rahte the hamesha masrur

    aaj bhi jin ke latife hain jahan mein mashhur

    muskuraate hue kirdar the mirza 'ghaalib'

    madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now