kashmakash
sochte sochte phir mujh ko ḳhayāl aatā hai
vo mire rañj-o-masā.ib kā mudāvā to na thī
rañg-afshāñ thī mire dil kī ḳhalāoñ meñ magar
ek aurat thī ilāj-e-ġham duniyā to na thī
mere idrāk ke nāsūr to riste rahte
merī ho kar bhī vo mere liye kyā kar letī
hasrat-o-yās ke gambhīr añdhere meñ bhalā
ek nāzuk sī kiran saath kahāñ tak detī
us ko rahnā thā zar-o-sīm ke aivānoñ meñ
rah bhī jaatī vo mire saath to rahtī kab tak
ek maġhrūr sahūkār kī pyārī beTī
bhuuk aur pyaas kī taklīf ko sahtī kab tak
ek shā.er kī tamannāoñ ko dhokā de kar
us ne toḌī hai agar pyaar bhare giit kī lai
is pe afsos hai kyuuñ is pe ta.ajjub kaisā
ye mohabbat bhī to ehsās kā ik dhokā hai
phir bhī anjāne meñ jab shahr kī rāhoñ meñ kahīñ
dekh letā huuñ maiñ doshīza jamāloñ ke hujūm
ruuh par phailne lagtā hai udāsī kā ġhubār
zehn meñ reñgne lagte haiñ ḳhayāloñ ke hujūm
sochte sochte phir mujh ko ḳhayāl aatā hai
vo mire rañj-o-masā.ib kā mudāvā to na thī
rañg-afshāñ thī mire dil kī ḳhalāoñ meñ magar
ek aurat thī ilāj-e-ġham-e-duniyā to na thī
sochte sochte phir mujh ko KHayal aata hai
wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi
rang-afshan thi mere dil ki KHalaon mein magar
ek aurat thi ilaj-e-gham duniya to na thi
mere idrak ke nasur to riste rahte
meri ho kar bhi wo mere liye kya kar leti
hasrat-o-yas ke gambhir andhere mein bhala
ek nazuk si kiran sath kahan tak deti
us ko rahna tha zar-o-sim ke aiwanon mein
rah bhi jati wo mere sath to rahti kab tak
ek maghrur sahukar ki pyari beTi
bhuk aur pyas ki taklif ko sahti kab tak
ek shaer ki tamannaon ko dhoka de kar
us ne toDi hai agar pyar bhare git ki lai
is pe afsos hai kyun is pe tajjub kaisa
ye mohabbat bhi to ehsas ka ek dhoka hai
phir bhi anjaane mein jab shahr ki rahon mein kahin
dekh leta hun main doshiza jamalon ke hujum
ruh par phailne lagta hai udasi ka ghubar
zehn mein rengne lagte hain KHayalon ke hujum
sochte sochte phir mujh ko KHayal aata hai
wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi
rang-afshan thi mere dil ki KHalaon mein magar
ek aurat thi ilaj-e-gham-e-duniya to na thi
- Book : Sangam (Pg. 35)
- Author : Naresh Kumar Shad
- Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.