tabdili
is bhare shahr meñ koī aisā nahīñ
jo mujhe raah chalte ko pahchān le
aur āvāz de o be o sar-phire
donoñ ik dūsre se lipaT kar vahīñ
gird-o-pesh aur māhaul ko bhuul kar
gāliyāñ deñ hañseñ hāthā-pā.ī kareñ
paas ke peḌ kī chhāñv meñ baiTh kar
ghanToñ ik dūsre kī suneñ aur kaheñ
aur is nek rūhoñ ke bāzār meñ
merī ye qīmtī be-bahā zindagī
ek din ke liye apnā ruḳh moḌ le
is bhare shahr mein koi aisa nahin
jo mujhe rah chalte ko pahchan le
aur aawaz de o be o sar-phire
donon ek dusre se lipaT kar wahin
gird-o-pesh aur mahaul ko bhul kar
galiyan den hansen hatha-pai karen
pas ke peD ki chhanw mein baiTh kar
ghanTon ek dusre ki sunen aur kahen
aur is nek ruhon ke bazar mein
meri ye qimti be-baha zindagi
ek din ke liye apna ruKH moD le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.