Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gandhi ji

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    vaqār-e-mādar-e-hindostāñ the gāñdhī

    har ek fard ke hamdard ġham-gusār-e-vatan

    sadāqatoñ ke parastār jhuuT ke dushman

    nizām-e-amn ke rūh-e-ravāñ the gāñdhī

    vaqār-e-mādar-e-hindostāñ the gāñdhī

    vo ektā ke pujārī har ek ke bhaa.ī

    vo faḳhr-e-qaum vo insāniyat ke shaidā.ī

    zamīñ pe rah ke bhī ik āsmāñ the gāñdhī

    vaqār-e-mādar-e-hindostāñ the gāñdhī

    kalī kalī ko tabassum ek Dhañg diyā

    har ek phuul ko apne lahū rañg diyā

    bahār-e-gulshan-e-amn-o-amāñ the gāñdhī

    vaqār-e-mādar-e-hindostāñ the gāñdhī

    har ek dil meñ jalāyā charāġh-e-āzādī

    hai jin ke ḳhuun se shādāb bāġh-e-āzādī

    hamāre mulk ke vo bāġhbāñ the gāñdhī

    vaqār-e-mādar-e-hindostāñ the gāñdhī

    sunī na baat tashaddud bhare usūloñ

    mahak luTā.ī ahinsā ke narm phūloñ

    ḳhulūs-o-ijz ke ik gulistāñ the gāñdhī

    vaqār-e-mādar-e-hindostāñ the gāñdhī

    waqar-e-madar-e-hindostan the gandhi ji

    har ek fard ke hamdard gham-gusar-e-watan

    sadaqaton ke parastar jhuT ke dushman

    nizam-e-amn ke ruh-e-rawan the gandhi ji

    waqar-e-madar-e-hindostan the gandhi ji

    wo ekta ke pujari har ek ke bhai

    wo faKHr-e-qaum wo insaniyat ke shaidai

    zamin pe rah ke bhi ek aasman the gandhi ji

    waqar-e-madar-e-hindostan the gandhi ji

    kali kali ko tabassum ka ek Dhang diya

    har ek phul ko apne lahu ka rang diya

    bahaar-e-gulshan-e-amn-o-aman the gandhi ji

    waqar-e-madar-e-hindostan the gandhi ji

    har ek dil mein jalaya charagh-e-azadi

    hai jin ke KHun se shadab bagh-e-azadi

    hamare mulk ke wo baghban the gandhi ji

    waqar-e-madar-e-hindostan the gandhi ji

    suni na baat tashaddud bhare usulon ki

    mahak luTai ahinsa ke narm phulon ki

    KHulus-o-ijz ke ek gulistan the gandhi ji

    waqar-e-madar-e-hindostan the gandhi ji

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now