muqaddas diwali
diip armāñ jalāne lage haiñ
bām-o-dar jagmagāne lage haiñ
ġham ke maare Thikāne lage haiñ
raam dhun mil ke gaane lage haiñ
jaam koī nahīñ aaj ḳhālī
aa ga.ī phir muqaddas divālī
ho rahe haiñ masarrat ke sāmāñ
hai ayodhya meñ har sū charāġhāñ
saj rahe haiñ diloñ ke gulistāñ
har ravish hai daraḳhshāñ daraḳhshāñ
shaam hai chandramā kī ujālī
aa ga.ī phir muqaddas divālī
raam ne ran meñ lanka ko jiitā
ek jug jin kā jangal meñ biitā
aa ga.iiñ saath lachhman ke siitā
bah rahī hai ḳhushī kī sarītā
surḳh-rū hai gulistāñ kā maalī
aa ga.ī phir muqaddas divālī
jaam ḳhushiyoñ ke bhar kar uchhālo
saare armān dil ke nikālo
ek ho kar añdheroñ ko Taalo
ai divālī ke dil-kash ujālo
desh maatā banī hai savālī
aa ga.ī phir muqaddas divālī
dip arman jalane lage hain
baam-o-dar jagmagane lage hain
gham ke mare Thikane lage hain
ram dhun mil ke gane lage hain
jam koi nahin aaj KHali
aa gai phir muqaddas diwali
ho rahe hain masarrat ke saman
hai ayodhya mein har su charaghan
saj rahe hain dilon ke gulistan
har rawish hai daraKHshan daraKHshan
sham hai chandrama ki ujali
aa gai phir muqaddas diwali
ram ne ran mein lanka ko jita
ek jug jin ka jangal mein bita
aa gain sath lachhman ke sita
bah rahi hai KHushi ki sarita
surKH-ru hai gulistan ka mali
aa gai phir muqaddas diwali
jam KHushiyon ke bhar kar uchhaalo
sare arman dil ke nikalo
ek ho kar andheron ko Talo
ai diwali ke dil-kash ujalo
desh mata bani hai sawali
aa gai phir muqaddas diwali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.