KHushbu ka safar
chhoḌ paimān-e-vafā kī baat sharminda na kar
dūriyāñ majbūriyāñ rusvā.iyāñ tanhā.iyāñ
koī qātil koī bismil siskiyāñ shahnā.iyāñ
dekh ye hañstā huā mausam hai mauzū'-e-nazar
vaqt kī rau meñ abhī sāhil abhī mauj-e-fanā
ek jhoñkā ek āñdhī ik kiran ik jū-e-ḳhūñ
phir vahī sahrā kā sannāTā vahī marg-e-junūñ
haath hāthoñ kā asāsa haath hāthoñ se judā
jab kabhī aa.egā ham par bhī judā.ī kā samāñ
TuuT jā.egā mire dil meñ kisī ḳhvāhish kā tiir
phail jā.egī tirī āñkhoñ meñ kājal kī lakīr
aur paimān-e-vafā jaise añdheroñ meñ dhuāñ
kal ke andeshoñ se apne dil ko āzurda na kar
dekh ye hañstā huā mausam ye ḳhushbū kā safar
chhoD paiman-e-wafa ki baat sharminda na kar
duriyan majburiyan ruswaiyan tanhaiyan
koi qatil koi bismil siskiyan shahnaiyan
dekh ye hansta hua mausam hai mauzu'-e-nazar
waqt ki rau mein abhi sahil abhi mauj-e-fana
ek jhonka ek aandhi ek kiran ek ju-e-KHun
phir wahi sahra ka sannaTa wahi marg-e-junun
hath hathon ka asasa hath hathon se juda
jab kabhi aaega hum par bhi judai ka saman
TuT jaega mere dil mein kisi KHwahish ka tir
phail jaegi teri aankhon mein kajal ki lakir
aur paiman-e-wafa jaise andheron mein dhuan
kal ke andeshon se apne dil ko aazurda na kar
dekh ye hansta hua mausam ye KHushbu ka safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.