Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

Kaifi Azmi

aurat

Kaifi Azmi

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

qalb-e-māhaul meñ larzāñ sharar-e-jañg haiñ aaj

hausle vaqt ke aur ziist ke yak-rañg haiñ aaj

ābgīnoñ meñ tapāñ valvala-e-sañg haiñ aaj

husn aur ishq ham-āvāz o ham-āhañg haiñ aaj

jis meñ jaltā huuñ usī aag meñ jalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

tere qadmoñ meñ hai firdaus-e-tamaddun bahār

terī nazroñ pe hai tahzīb o taraqqī madār

terī āġhosh hai gahvāra-e-nafs-o-kirdār

tā-ba-kai gird tire vahm o ta.ayyun hisār

kauñd kar majlis-e-ḳhalvat se nikalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

ki be-jān khilaunoñ se bahal jaatī hai

taptī sāñsoñ harārat se pighal jaatī hai

paañv jis raah meñ rakhtī hai phisal jaatī hai

ban ke sīmāb har ik zarf meñ Dhal jaatī hai

ziist ke āhanī sāñche meñ bhī Dhalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

zindagī jehd meñ hai sabr ke qaabū meñ nahīñ

nabz-e-hastī lahū kāñpte aañsū meñ nahīñ

uḌne khulne meñ hai nik.hat ḳham-e-gesū meñ nahīñ

jannat ik aur hai jo mard ke pahlū meñ nahīñ

us āzād ravish par bhī machalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

goshe goshe meñ sulagtī hai chitā tere liye

farz bhes badaltī hai qazā tere liye

qahr hai terī har ik narm adā tere liye

zahr zahr hai duniyā havā tere liye

rut badal Daal agar phūlnā phalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

qadr ab tak tirī tārīḳh ne jaanī nahīñ

tujh meñ sho.ale bhī haiñ bas ashk-fishānī nahīñ

haqīqat bhī hai dilchasp kahānī nahīñ

terī hastī bhī hai ik chiiz javānī nahīñ

apnī tārīḳh unvān badalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

toḌ kar rasm but band-e-qadāmat se nikal

zof-e-ishrat se nikal vahm-e-nazākat se nikal

nafs ke khīñche hue halqa-e-azmat se nikal

qaid ban jaa.e mohabbat to mohabbat se nikal

raah ḳhaar kyā gul bhī kuchalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

toḌ ye azm-shikan daġhdaġha-e-pand bhī toḌ

terī ḳhātir hai jo zanjīr vo saugand bhī toḌ

tauq ye bhī hai zamurrad gulū-band bhī toḌ

toḌ paimāna-e-mardān-e-ḳhirad-mand bhī toḌ

ban ke tūfān chhalaknā hai ubalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

falātūn o arastū hai zahrā parvīñ

tere qabze meñ hai gardūñ tirī Thokar meñ zamīñ

haañ uThā jald uThā pā-e-muqaddar se jabīñ

maiñ bhī rukne nahīñ vaqt bhī rukne nahīñ

laḌkhaḌā.egī kahāñ tak ki sambhalnā hai tujhe

uTh mirī jaan mire saath chalnā hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

qalb-e-mahaul mein larzan sharar-e-jang hain aaj

hausle waqt ke aur zist ke yak-rang hain aaj

aabginon mein tapan walwala-e-sang hain aaj

husn aur ishq ham-awaz o ham-ahang hain aaj

jis mein jalta hun usi aag mein jalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

tere qadmon mein hai firdaus-e-tamaddun ki bahaar

teri nazron pe hai tahzib o taraqqi ka madar

teri aaghosh hai gahwara-e-nafs-o-kirdar

ta-ba-kai gird tere wahm o tayyun ka hisar

kaund kar majlis-e-KHalwat se nikalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

tu ki be-jaan khilaunon se bahal jati hai

tapti sanson ki hararat se pighal jati hai

panw jis rah mein rakhti hai phisal jati hai

ban ke simab har ek zarf mein Dhal jati hai

zist ke aahani sanche mein bhi Dhalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

zindagi jehd mein hai sabr ke qabu mein nahin

nabz-e-hasti ka lahu kanpte aansu mein nahin

uDne khulne mein hai nikhat KHam-e-gesu mein nahin

jannat ek aur hai jo mard ke pahlu mein nahin

us ki aazad rawish par bhi machalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

goshe goshe mein sulagti hai chita tere liye

farz ka bhes badalti hai qaza tere liye

qahr hai teri har ek narm ada tere liye

zahr hi zahr hai duniya ki hawa tere liye

rut badal Dal agar phulna phalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

qadr ab tak teri tariKH ne jaani hi nahin

tujh mein shoale bhi hain bas ashk-fishani hi nahin

tu haqiqat bhi hai dilchasp kahani hi nahin

teri hasti bhi hai ek chiz jawani hi nahin

apni tariKH ka unwan badalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

toD kar rasm ka but band-e-qadamat se nikal

zof-e-ishrat se nikal wahm-e-nazakat se nikal

nafs ke khinche hue halqa-e-azmat se nikal

qaid ban jae mohabbat to mohabbat se nikal

rah ka KHar hi kya gul bhi kuchalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

toD ye azm-shikan daghdagha-e-pand bhi toD

teri KHatir hai jo zanjir wo saugand bhi toD

tauq ye bhi hai zamurrad ka gulu-band bhi toD

toD paimana-e-mardan-e-KHirad-mand bhi toD

ban ke tufan chhalakna hai ubalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

tu falatun o arastu hai tu zahra parwin

tere qabze mein hai gardun teri Thokar mein zamin

han uTha jald uTha pa-e-muqaddar se jabin

main bhi rukne ka nahin waqt bhi rukne ka nahin

laDkhaDaegi kahan tak ki sambhalna hai tujhe

uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Kaifi Azmi

Kaifi Azmi

Kaifi Azmi

Kaifi Azmi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aurat Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now