taKHliq
ye kyā mo'jiza hai
ki sūkhī huī ḳhushk be-jān koñpal harī ho ga.ī hai
subuk pattiyāñ gungunāne lagī haiñ
bahāroñ kā paiġhām laane lagī haiñ
ye kyā dekhtā huuñ
tumhārī jabīñ ke 'ufuq par
shu'ā'oñ kā mela hai fardā kā sūraj nikalne lagā hai
tumhārī nigāhoñ meñ nā-dīda jugnū chamakne lage haiñ
ye kaisā fusūñ hai
tumhāre dil-o-jāñ meñ merā junūñ hai
tumhārī rag-o-pai meñ merī mohabbat kā laavā thirakne lagā hai
tumhāre lahū kī har ik buuñd meñ ek mā'sūm jazba humakne lagā hai
tumhāre mahakte hue surḳh hoñToñ pe mahbūs panchhī chahakne lagā hai
mujhe aisā mahsūs hotā hai jaise
bahār aa.ī hai gulsitāñ jal rahā hai
tumhāre sarāpā meñ ik paikar-e-rang-o-bū Dhal rahā hai
ye kyā baat hai
dekhte dekhte kyā se kyā ho ga.ī ho
ye kis lazzat-e-karb se āshnā ho ga.ī ho
ki merī nazar meñ ḳhudā ho ga.ī ho
ye kya mo'jiza hai
ki sukhi hui KHushk be-jaan konpal hari ho gai hai
subuk pattiyan gungunane lagi hain
bahaaron ka paigham lane lagi hain
ye kya dekhta hun
tumhaari jabin ke 'ufuq par
shu'a'on ka mela hai farda ka suraj nikalne laga hai
tumhaari nigahon mein na-dida jugnu chamakne lage hain
ye kaisa fusun hai
tumhaare dil-o-jaan mein mera junun hai
tumhaari rag-o-pai mein meri mohabbat ka lawa thirakne laga hai
tumhaare lahu ki har ek bund mein ek ma'sum jazba humakne laga hai
tumhaare mahakte hue surKH honTon pe mahbus panchhi chahakne laga hai
mujhe aisa mahsus hota hai jaise
bahaar aai hai gulsitan jal raha hai
tumhaare sarapa mein ek paikar-e-rang-o-bu Dhal raha hai
ye kya baat hai
dekhte dekhte kya se kya ho gai ho
ye kis lazzat-e-karb se aashna ho gai ho
ki meri nazar mein KHuda ho gai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.