Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kabhi

Sahir Ludhianvi

kabhi kabhi

Sahir Ludhianvi

Interesting Fact

Film: Kabhie Kabhie -1976

kabhī kabhī mire dil meñ ḳhayāl aatā hai

ki zindagī tirī zulfoñ narm chhāñv meñ

guzarne paatī to shādāb ho bhī saktī thī

ye tīrgī jo mirī ziist muqaddar hai

tirī nazar shuāoñ meñ kho bhī saktī thī

ajab na thā ki maiñ begāna-e-alam ho kar

tire jamāl ra.anā.iyoñ meñ kho rahtā

tirā gudāz-badan terī nīm-bāz āñkheñ

inhī hasīn fasānoñ meñ mahv ho rahtā

pukārtīñ mujhe jab talḳhiyāñ zamāne

tire laboñ se halāvat ke ghūñT letā

hayāt chīḳhtī phirtī barahna sar aur maiñ

ghanerī zulfoñ ke saa.e meñ chhup ke letā

magar ye ho na sakā aur ab ye aalam hai

ki nahīñ tirā ġham terī justujū bhī nahīñ

guzar rahī hai kuchh is tarah zindagī jaise

ise kisī ke sahāre aarzū bhī nahīñ

zamāne bhar ke dukhoñ ko lagā chukā huuñ gale

guzar rahā huuñ kuchh an-jānī rahguzāroñ se

muhīb saa.e mirī samt baḌhte aate haiñ

hayāt o maut ke pur-haul ḳhārzāroñ se

na koī jāda-e-manzil na raushnī surāġh

bhaTak rahī hai ḳhalāoñ meñ zindagī merī

inhī ḳhalāoñ meñ rah jā.ūñgā kabhī kho kar

maiñ jāntā huuñ mirī ham-nafas magar yūñhī

kabhī kabhī mire dil meñ ḳhayāl aatā hai

kabhi kabhi mere dil mein KHayal aata hai

ki zindagi teri zulfon ki narm chhanw mein

guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi

ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai

teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi

ajab na tha ki main begana-e-alam ho kar

tere jamal ki ranaiyon mein kho rahta

tera gudaz-badan teri nim-baz aankhen

inhi hasin fasanon mein mahw ho rahta

pukartin mujhe jab talKHiyan zamane ki

tere labon se halawat ke ghunT pi leta

hayat chiKHti phirti barahna sar aur main

ghaneri zulfon ke sae mein chhup ke ji leta

magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai

ki tu nahin tera gham teri justuju bhi nahin

guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise

ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahin

zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale

guzar raha hun kuchh an-jaani rahguzaron se

muhib sae meri samt baDhte aate hain

hayat o maut ke pur-haul KHarzaron se

na koi jada-e-manzil na raushni ka suragh

bhaTak rahi hai KHalaon mein zindagi meri

inhi KHalaon mein rah jaunga kabhi kho kar

main jaanta hun meri ham-nafas magar yunhi

kabhi kabhi mere dil mein KHayal aata hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Sahir Ludhianvi

Sahir Ludhianvi

Sameer Khera

Sameer Khera

Mukesh

Mukesh

Sahir Ludhianvi

Sahir Ludhianvi

RECITATIONS

Hamida Chopra

Hamida Chopra,

Hamida Bano

Hamida Bano,

00:00/00:00
Hamida Chopra

kabhii kabhii Hamida Chopra

Hamida Bano

kabhi kabhi Hamida Bano

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now