rath-ban
ye insāñ rath-bān hai aisā
jis ke haath meñ vaqt kī rāseñ
sadiyāñ saal mahīne jis ke ghoḌe
ghaḌ ghaḌ ghaḌ ghaḌ bhāgte jaa.eñ
ghūmne vaalī saḳht zamīñ kī gardish
māpte jaa.eñ
Tap Tap Tap Tap un kī baanī
likhtī jaa.e ek kahānī
ek ravānī aur hairānī
sab ke dil meñ is kī nishānī
ye insāñ rath-bān hai aisā
chalte chalte
Tap Tap Tap Tap giit sunāte
ghoḌoñ par chābuk barsā.e
un ko itnā taish dilā.e
vo tārīḳh kī rāseñ toḌ ke
sarpaT bhāgeñ
zarroñ ke sīnoñ meñ vo kohrām bapā ho
rū-e-zamīñ par ek qayāmat kā
ye rath-bān ḳhud apnī hī rath
apne hī ghoḌoñ kī zad meñ aa kar
kuchlā jaa.e
vaqt ke zālim pahiyoñ kī
gardish meñ
boTī boTī ho kar
duur duur tak uḌtā jaa.e
gumbad-e-roz-o-shab meñ
us rath-bān kā giit yahī hai
chīḳh yahī hai
insāñ kī tārīḳh yahī hai
ye insan rath-ban hai aisa
jis ke hath mein waqt ki rasen
sadiyan sal mahine jis ke ghoDe
ghaD ghaD ghaD ghaD bhagte jaen
ghumne wali saKHt zamin ki gardish
mapte jaen
Tap Tap Tap Tap un ki bani
likhti jae ek kahani
ek rawani aur hairani
sab ke dil mein is ki nishani
ye insan rath-ban hai aisa
chalte chalte
Tap Tap Tap Tap git sunate
ghoDon par chabuk barsae
un ko itna taish dilae
wo tariKH ki rasen toD ke
sarpaT bhagen
zarron ke sinon mein wo kohram bapa ho
ru-e-zamin par ek qayamat ka
ye rath-ban KHud apni hi rath
apne hi ghoDon ki zad mein aa kar
kuchla jae
waqt ke zalim pahiyon ki
gardish mein
boTi boTi ho kar
dur dur tak uDta jae
gumbad-e-roz-o-shab mein
us rath-ban ka git yahi hai
chiKH yahi hai
insan ki tariKH yahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.