shikast-KHurda
chalo phir lauT jaate haiñ
ki rasta jān-levā hai
yahāñ rasmoñ ke phande
aur rivājoñ ke jo maqtal haiñ
ham in meñ surḳh-rū hone kī ahliyat nahīñ rakhte
hamāre paas
daulat kā bhī koī morcha kab hai
hamāre haath meñ
nām-o-nasab ke tiir bhī kab haiñ
chalo jānam kisī agle jahāñ kī
aas rakhte haiñ
jahāñ shāyad kahīñ
ahl-e-mohabbat chain paate haiñ
chalo ham lauT jaate haiñ
chalo phir lauT jate hain
ki rasta jaan-lewa hai
yahan rasmon ke phande
aur riwajon ke jo maqtal hain
hum in mein surKH-ru hone ki ahliyat nahin rakhte
hamare pas
daulat ka bhi koi morcha kab hai
hamare hath mein
nam-o-nasab ke tir bhi kab hain
chalo jaanam kisi agle jahan ki
aas rakhte hain
jahan shayad kahin
ahl-e-mohabbat chain pate hain
chalo hum lauT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.