visal ki KHwahish
kah bhī de ab vo sab bāteñ
jo dil meñ poshīda haiñ
saare ruup dikhā de mujh ko
jo ab tak nādīda haiñ
ek hī raat ke taare haiñ
ham donoñ us ko jānte haiñ
duurī aur majbūrī kyā hai
us ko bhī pahchānte haiñ
kyuuñ phir donoñ mil nahīñ sakte
kyuuñ ye bandhan TuuTā hai
yā koī khoT hai tere dil meñ
yā merā ġham jhūTā hai
kah bhi de ab wo sab baaten
jo dil mein poshida hain
sare rup dikha de mujh ko
jo ab tak nadida hain
ek hi raat ke tare hain
hum donon us ko jaante hain
duri aur majburi kya hai
us ko bhi pahchante hain
kyun phir donon mil nahin sakte
kyun ye bandhan TuTa hai
ya koi khoT hai tere dil mein
ya mera gham jhuTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.