nazm
jab kabhī tujh ko ḳhayālāt meñ le aatā huuñ
jaane kyuuñ ḳhud hī pareshān sā ho jaatā huuñ
kyā guzartī hai mire dil pe batā.ūñ kis ko
jaise mujrim huuñ yahī soch ke ghabrātā huuñ
dil to kahtā hai ki āñkhoñ meñ samā jā.ūñ tirī
par karūñ kyā na karūñ kuchh na samajh paatā huuñ
tū mire fikr-o-ḳhayālāt meñ rahtī hai magar
soch kar maiñ kisī anjām se Dar jaatā huuñ
jaisī duniyā hai tirī vaisā hī sansār merā
vasl mumkin hī nahīñ ye tujhe samjhātā huuñ
tujh ko mā'lūm hai majbūriyāñ merī kyā haiñ
maiñ hadeñ dekh ke ḳhud terī laraz jaatā huuñ
terī nagrī hai alag merā bhī qarya hai judā
tū kisī kī maiñ kahīñ aur ginā jaatā huuñ
kaise chāhūñgā tū dahlīz hayā kī lāñghe
bas yahī soch ke to tujh se maiñ katrātā huuñ
dost ban jaa.eñ chaleñ ziist sañvāreñ apnī
maiñ bhī bā-zarf huuñ tujh meñ bhī hayā paatā huuñ
jab kabhi tujh ko KHayalat mein le aata hun
jaane kyun KHud hi pareshan sa ho jata hun
kya guzarti hai mere dil pe bataun kis ko
jaise mujrim hun yahi soch ke ghabraata hun
dil to kahta hai ki aankhon mein sama jaun teri
par karun kya na karun kuchh na samajh pata hun
tu mere fikr-o-KHayalat mein rahti hai magar
soch kar main kisi anjam se Dar jata hun
jaisi duniya hai teri waisa hi sansar mera
wasl mumkin hi nahin ye tujhe samjhata hun
tujh ko ma'lum hai majburiyan meri kya hain
main haden dekh ke KHud teri laraz jata hun
teri nagri hai alag mera bhi qarya hai juda
tu kisi ki main kahin aur gina jata hun
kaise chahunga tu dahliz haya ki langhe
bas yahi soch ke to tujh se main katraata hun
dost ban jaen chalen zist sanwaren apni
main bhi ba-zarf hun tujh mein bhi haya pata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.