walid-e-girami
ye vo chehra hai jise maiñ ne paḌhā hai barsoñ
dūsrī koī kitāb aisī na dekhī maiñ ne
is kī tasvīr-kashī mujh se na ho pā.egī
harf aise haiñ ki dhāge meñ piro.e motī
lafz-dar-lafz vo hikmat hai ki sub.hān-allāh
is ke fiqroñ meñ hai ābād jahān-e-mā'nī
is kī har satar hai majmū'a-e-asrār-e-nujūm
jo ki ahvāl batā detī hai mustaqbil kā
is ke safhāt nigāhoñ ke liye ThanDak haiñ
is ne duniyā kī chakā-chauñd se āgāh kiyā
is ne bhaTkāyā nahīñ rāh-numā.ī kī hai
is ne apnoñ ke taġhāful kā sitam jhelā hai
phir bhī ye fā.ida pahuñchātī rahī hai sab ko
haañ magar shikva-kunāñ ye kabhī dekhī na ga.ī
āñdhiyāñ aa.iiñ to ālām-o-havādis kī magar
is ke dāman ko magar kar na sakīñ gard-ālūd
aaj bhī is kī tab-o-tāb vahī hai jo ki thī
lillahil-hamd ki us ne mujhe baḳhshī ye kitāb
ye du'ā hai ki salāmat rahe is kī tab-o-tāb
hai guzārish ise paḌh kar kaheñ āmīn ahbāb
ye wo chehra hai jise main ne paDha hai barson
dusri koi kitab aisi na dekhi main ne
is ki taswir-kashi mujh se na ho paegi
harf aise hain ki dhage mein piroe moti
lafz-dar-lafz wo hikmat hai ki subhan-allah
is ke fiqron mein hai aabaad jahan-e-ma'ni
is ki har satar hai majmu'a-e-asrar-e-nujum
jo ki ahwal bata deti hai mustaqbil ka
is ke safhat nigahon ke liye ThanDak hain
is ne duniya ki chaka-chaund se aagah kiya
is ne bhaTkaya nahin rah-numai ki hai
is ne apnon ke taghaful ka sitam jhela hai
phir bhi ye faida pahunchati rahi hai sab ko
han magar shikwa-kunan ye kabhi dekhi na gai
aandhiyan aain to aalam-o-hawadis ki magar
is ke daman ko magar kar na sakin gard-alud
aaj bhi is ki tab-o-tab wahi hai jo ki thi
lillahil-hamd ki us ne mujhe baKHshi ye kitab
ye du'a hai ki salamat rahe is ki tab-o-tab
hai guzarish ise paDh kar kahen aamin ahbab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.