mera bap
khulī fazā meñ saaf havā ke jaisā vo
bārish ke paanī ke jaisā vo
gahrā thā miTTī se rishta pairoñ kā
us rishte ke biich na aa.ī chappal bhī
ghaḌī na bāñdhī kabhī kalā.ī par us ne
sūraj-tāre vaqt use batlāte the
apne bal par apnī dhun meñ rahtā thā
nahīñ kisī se gaañv meñ vo Dartā thā
naam kī ḳhvāhish thī na use pahchān kī thī
bas apne kāmoñ se matlab rakhtā thā
vo daana thā vo miTTī thā
vo paudā thā vo mausam thā
vo sachchā ḳhālis insān thā
jaise aadam aur havvā the
vo tanhā thā
ek baḌe se ghar meñ tanhā rahtā thā
bhaiñseñ us ke saath thiiñ
us kī baat samajhtī thiiñ
vo bhī un kī hī bhāshā meñ un se bāteñ kartā thā
ghar par aksar lagā ke taalā yūñhī sā
khaliyānoñ meñ rahne vaalā baap mirā
khetoñ khetoñ basne vaalā baap mirā
aam kī chhāñv meñ sone vaalā baap mirā
ab miTTī meñ sotā hai
aam ke peḌ kī ḳhushk jaḌoñ meñ rotā hai
khuli faza mein saf hawa ke jaisa wo
barish ke pani ke jaisa wo
gahra tha miTTi se rishta pairon ka
us rishte ke bich na aai chappal bhi
ghaDi na bandhi kabhi kalai par us ne
suraj-tare waqt use batlate the
apne bal par apni dhun mein rahta tha
nahin kisi se ganw mein wo Darta tha
nam ki KHwahish thi na use pahchan ki thi
bas apne kaamon se matlab rakhta tha
wo dana tha wo miTTi tha
wo pauda tha wo mausam tha
wo sachcha KHalis insan tha
jaise aadam aur hawwa the
wo tanha tha
ek baDe se ghar mein tanha rahta tha
bhainsen us ke sath thin
us ki baat samajhti thin
wo bhi un ki hi bhasha mein un se baaten karta tha
ghar par aksar laga ke tala yunhi sa
khaliyanon mein rahne wala bap mera
kheton kheton basne wala bap mera
aam ki chhanw mein sone wala bap mera
ab miTTi mein sota hai
aam ke peD ki KHushk jaDon mein rota hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 131)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.