mele
baap kī uñglī thāme
ik nanhā sā bachcha
pahle-pahal mele meñ gayā to
apnī bholī-bhālī
kanchoñ jaisī āñkhoñ se
ik duniyā dekhī
ye kyā hai aur vo kyā hai
sab us ne pūchhā
baap ne jhuk kar
kitnī saarī chīzoñ aur kheloñ kā
us ko naam batāyā
naT kā
bāzīgar kā
jādūgar kā
us ko kaam batāyā
phir vo ghar kī jānib lauTe
god ke jhūle meñ
bachche ne baap ke kañdhe par sar rakkhā
baap ne pūchhā
niiñd aatī hai
vaqt bhī ek parinda hai
uḌtā rahtā hai
gaañv meñ phir ik mela aayā
būḌhe baap ne kāñpte hāthoñ se
beTe kī baañh ko thāmā
aur beTe ne
ye kyā hai aur vo kyā hai
jitnā bhī ban paayā
samjhāyā
baap ne beTe ke kañdhe par sar rakkhā
beTe ne pūchhā
niiñd aatī hai
baap ne muḌ ke
yaad kī pagDanDī par chalte
biite hue
sab achchhe bure
aur kaḌve mīThe
lamhoñ ke pairoñ se uḌtī
dhuul ko dekhā
phir
apne beTe ko dekhā
hoñToñ par
ik halkī sī muskān aa.ī
haule se bolā
haañ!
mujh ko ab niiñd aatī hai
bap ki ungli thame
ek nanha sa bachcha
pahle-pahal mele mein gaya to
apni bholi-bhaali
kanchon jaisi aankhon se
ek duniya dekhi
ye kya hai aur wo kya hai
sab us ne puchha
bap ne jhuk kar
kitni sari chizon aur khelon ka
us ko nam bataya
naT ka
bazigar ka
jadugar ka
us ko kaam bataya
phir wo ghar ki jaanib lauTe
god ke jhule mein
bachche ne bap ke kandhe par sar rakkha
bap ne puchha
nind aati hai
waqt bhi ek parinda hai
uDta rahta hai
ganw mein phir ek mela aaya
buDhe bap ne kanpte hathon se
beTe ki banh ko thama
aur beTe ne
ye kya hai aur wo kya hai
jitna bhi ban paya
samjhaya
bap ne beTe ke kandhe par sar rakkha
beTe ne puchha
nind aati hai
bap ne muD ke
yaad ki pagDanDi par chalte
bite hue
sab achchhe bure
aur kaDwe miThe
lamhon ke pairon se uDti
dhul ko dekha
phir
apne beTe ko dekha
honTon par
ek halki si muskan aai
haule se bola
han!
mujh ko ab nind aati hai
- Book : LAVA (Pg. 121)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Rajkamal Parakashan Pvt. Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.