marhum
kabhī tasvīr se bāhar nikal kar bol bhī uTTho
hamesha ek sā chehra liye kyuuñ takte rahte ho
zarā hoñToñ ko jumbish aur lafzoñ ko rihā.ī do
akelā paḌ gayā huuñ maiñ zarā merī safā.ī do
maañ aksar merī khāñsī par tumhārā dhokā khātī hai
ye baḌ kī merī ik aadat tumhārī sī batātī hai
tumhārī yaad aatī hai
kabhī pūchho ki itnī raat ko kyuuñ ghar maiñ aatā huuñ
kabhī DāñTo ki maiñ is tarah kyuuñ paise uḌātā huuñ
jinheñ tum Tokte the maiñ vo saare kaam kartā huuñ
tumhārā naam karne se rahā badnām kartā huuñ
maiñ ik hotel meñ cigarette pī rahā huuñ tum dikhā.ī do
maiñ rūThā huuñ merā kāñdhā chhuo
phir muskurāo aur khāne par bulā lo
mujhe Dar lag rahā hai aaj
mujh ko apne bistar par sulā lo
maiñ is mele meñ chal kar thak gayā huuñ
apne kāñdhe par biThā lo
qadam phir laḌkhaḌāte haiñ
mujhe uñglī do girtā huuñ sambhālo
mujhe sar-dard hai sar chhū ke
apne lams kī umda davā.ī do
maiñ phir se paas ho kar aa gayā huuñ thapthapāo
tū āḳhir merā beTā hai kaho maañ ko chiḌhāo
mujhe phir se usī halvā.ī kī lā kar miThā.ī do
suno ab log aksar pūchhte haiñ
kis ke beTe ho
tumhārā naam letā huuñ
to vo 'marhūm' kahte haiñ
magar nādān haiñ vo
baap bhī marhūm hotā hai
kabhi taswir se bahar nikal kar bol bhi uTTho
hamesha ek sa chehra liye kyun takte rahte ho
zara honTon ko jumbish aur lafzon ko rihai do
akela paD gaya hun main zara meri safai do
man aksar meri khansi par tumhaara dhoka khati hai
ye baD ki meri ek aadat tumhaari si batati hai
tumhaari yaad aati hai
kabhi puchho ki itni raat ko kyun ghar main aata hun
kabhi DanTo ki main is tarah kyun paise uData hun
jinhen tum Tokte the main wo sare kaam karta hun
tumhaara nam karne se raha badnam karta hun
main ek hotel mein cigarette pi raha hun tum dikhai do
main ruTha hun mera kandha chhuo
phir muskurao aur khane par bula lo
mujhe Dar lag raha hai aaj
mujh ko apne bistar par sula lo
main is mele mein chal kar thak gaya hun
apne kandhe par biTha lo
qadam phir laDkhaDate hain
mujhe ungli do girta hun sambhaalo
mujhe sar-dard hai sar chhu ke
apne lams ki umda dawai do
main phir se pas ho kar aa gaya hun thapthapao
tu aaKHir mera beTa hai kaho man ko chiDhao
mujhe phir se usi halwai ki la kar miThai do
suno ab log aksar puchhte hain
kis ke beTe ho
tumhaara nam leta hun
to wo 'marhum' kahte hain
magar nadan hain wo
bap bhi marhum hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.