Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaum-e-azadi

Siraj Lakhnavi

yaum-e-azadi

Siraj Lakhnavi

zamīn-e-hind hai aur āsmān-e-āzādī

yaqīn ban gayā ab to gumān-e-āzādī

suno buland huī phir azān-e-āzādī

sar-e-niyāz hai aur āstān-e-āzādī

pahāḌ kaT gayā nūr-e-sahar se raat malī

ḳhudā shakar ġhulāmī se to najāt malī

havā-e-aish-o-tarab bādbān ban ke chalī

zamīñ vatan nayā āsmān ban ke chalī

nasīm-e-sub.h phir 'arjun' baan ban ke chalī

bahār-e-hind tirañgā-nishān ban ke chalī

sipāhī desh apne har ik javān banā

bal abaruoñ kaḌaktī huī kamān banā

nazar-navāz hai rañg-e-bahār-e-āzādī

har ek zarra hai ā.īna-dār-e-āzādī

hai sar-zamīn-e-vatan jalva-zār-e-āzādī

saroñ ke saath hai ab to vaqār-e-āzādī

kahāñ haiñ aaj vo sham-e-vatan ke parvāne

bane haiñ aaj haqīqat unhīñ ke afsāne

hijāb uTh ga.e ab kas parda-dārī hai

ġhazab dīda-e-nargis meñ hoshiyārī hai

kalī ne maañg baḌe hasan se sañvārī hai

hasīn phūloñ meñ rañg-e-ḳhud-iḳhtiyārī hai

khaTak kahāñ se ho ab dil meñ koī phāñs bhī hai

ḳhudā shakar ki marzī ab to saañs bhī hai

zamīn apnī fazā apnī āsmān apnā

hukūmat apnī alam apnā aur nishān apnā

haiñ phuul apne chaman apne bāġhbān apnā

itā.at apnī sar apnā hai āstān apnā

jamāl-e-ka.aba nahīñ jamāl-e-dair nahīñ

sab apne nazar aate haiñ koī ġhair nahīñ

zamin-e-hind hai aur aasman-e-azadi

yaqin ban gaya ab to guman-e-azadi

suno buland hui phir azan-e-azadi

sar-e-niyaz hai aur aastan-e-azadi

pahaD kaT gaya nur-e-sahar se raat mali

KHuda ka shakar ghulami se to najat mali

hawa-e-aish-o-tarab baadban ban ke chali

zamin watan ki naya aasman ban ke chali

nasim-e-subh phir 'arjun' ka ban ban ke chali

bahaar-e-hind tiranga-nishan ban ke chali

sipahi desh ka apne har ek jawan bana

bal abaruon ka kaDakti hui kaman bana

nazar-nawaz hai rang-e-bahaar-e-azadi

har ek zarra hai aaina-dar-e-azadi

hai sar-zamin-e-watan jalwa-zar-e-azadi

saron ke sath hai ab to waqar-e-azadi

kahan hain aaj wo sham-e-watan ke parwane

bane hain aaj haqiqat unhin ke afsane

hijab uTh gae ab kas ki parda-dari hai

ghazab ki dida-e-nargis mein hoshiyari hai

kali ne mang baDe hasan se sanwari hai

hasin phulon mein rang-e-KHud-iKHtiyari hai

khaTak kahan se ho ab dil mein koi phans bhi hai

KHuda ka shakar ki marzi ki ab to sans bhi hai

zamin apni faza apni aasman apna

hukumat apni alam apna aur nishan apna

hain phul apne chaman apne baghban apna

itaat apni sar apna hai aastan apna

jamal-e-kaba nahin ya jamal-e-dair nahin

sab apne hi nazar aate hain koi ghair nahin

Source :
  • Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 403)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
  • Edition : 1982,Editon II 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now