Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera watan

dil-rubā laala ho fazā terī

mujh ko bhaa.ī na ik adā terī

lutf se baḌh ke hai jafā terī

vāh-re hindostāñ vafā terī

maiñ na mānūñ kabhī tirā kahnā

maiñ na baḳhshūñ kabhī ḳhatā terī

bar-tar-az-ḳhār hai tirā gulshan

zahr se kam nahīñ havā terī

ḳhālī-az-kaifiyat tirī har chiiz

baat har ek be mazā terī

dard-e-dil meñ taḌap ke mar jā.ūñ

maiñ na DhūñDūñ kabhī shifā terī

kaun baat terī lutf-āmez

kaun chiiz dil-kushā terī

tujh ko jannat-nishān kahte haiñ

ham jahannam jaan kahte haiñ

tujh ko kas baat par hai naaz batā

kyā nahīñ aur mulk tere sivā

terī aab o havā latīf sahī

tujh se baḌh kar spain ḳhitta

tujh ko apnī zamīn hai ghamanD

tujh se afzal kahīñ hai america

hasan par apne naaz hai tujh ko

hasan tujh se sivā etāliyā

tujh ko gañgā apnī dhokā hai

ne dekhā nahīñ hai siin ko

mausīqī par tujhe hai naaz bahut

is meñ juz dard-o-ġham dharā hai kyā

falsafa terā agle vaqtoñ

falsafa dekh ke europe

tujh meñ phir aan kyā rahī baaqī

terī mahfil na kuchh na kuchh saaqī

haañ muravvat tujh meñ naam nahīñ

haañ uḳhuvvat tujh meñ naam nahīñ

tujh se bad-nām ishq ustād

aur mohabbat tujh meñ naam nahīñ

āshtī sīkhe tujh se aa ke koī

haañ ḳhusūmat tujh meñ naam nahīñ

terī har baat meñ safā.ī hai

aur kudūrat tujh meñ naam nahīñ

tujh ko aur hurriyat se kyā nisbat

is zarūrat tujh meñ naam nahīñ

shaad haiñ taire apne begāne

aur shikāyat tujh meñ naam nahīñ

terī tahzīb tujh ko maujib-e-faḳhr

haañ jahālat tujh meñ naam nahīñ

baat duniyā se hai judā terī

vaah ai hindostāñ adā terī

tere rasm-o-rivāj ne maarā

is maraz ke ilaaj ne maarā

terī ġhairat nai kar diyā barbād

ḳhāndānoñ ke laaj ne maarā

kyā kareñ har ghaḌī yahī hai fikr

roz ehtiyāj ne maarā

aa.e din call hai zikr-azkār

ik zarā se anaaj ne maarā

aur sab par vabā ik turra

is anokhe ḳhirāj ne maarā

baḳht bargashta ārzueñ bahut

havas-e-sīm-o-āj nai maarā

na kareñ kaam kuchh to khā.eñ kyā

roz ke kām-kāj ne maarā

to rahne kuchh maqām nahīñ

tujh meñ insāniyat naam nahīñ

qaid ne kiyā hasīnoñ ko

mah-jabīnoñ ko nāznīnoñ ko

zevar-e-ilm se rakhā aarī

ne qudrat ke in nagīnoñ ko

iḳhtiyār o pasand ai hind

kyā zarūrat na thī hasīnoñ ko

ḳhuub pahchānī ne qadr in

ḳhuub samjhā in ḳhazīnoñ ko

kueñ jhañkvā.e nāznīnoñ se

zahr khilvāyā mah-jabīnoñ ko

Duube jaate haiñ kaun aa ke bachā.e

bahr-e-hastī ke in safīnoñ ko

makāñ thā makān ho ke diyā

ḳhauf-e-ārām in makīnoñ ko

tujh pe tahzīb ta.an kartī hai

tujh pe ilzām ḳhalq dhartī hai

aarzū hai tujhe hukūmat

jāh-o-sarvat shān-o-shaukat

kyuuñ na ho tujh meñ himmat-e-ālī

dhuum har hai terī jur.at

to ne kasb-e-funūn-e-jañg kiyā

sab meñ shohrat hai terī quvvat

qasmeñ khāte haiñ log duniyā meñ

terī millat tirī uḳhuvvat

mulk-dārī meñ mulk-gīrī meñ

vaah kyā paidā qābiliyyat

to ustād se bhī baḌh niklā

hairat-añgez ne mehnat

aap aalam meñ hai apnī misāl

ādamiyyat aur shujā.at

ham-sarī kasī ko taab nahīñ

tirā āfāq meñ javāb nahīñ

daaġh dil ke kise dikhā.eñ ham

aisā mushfiq kahāñ se laa.eñ ham

dil meñ hai apne ham-nashīñ ik roz

aap ro kar tujhe rulā.eñ ham

is tabī.at ko kas tarah bahlā.eñ

dil ko kis chiiz se lagā.eñ ham

kab talak roz ke kaheñ sadme

kab talak āfateñ uThā.eñ ham

zahr kyuuñ ai falak na ham khā leñ

se apne guzar na jaa.eñ ham

jo shikāyat ho kyuuñ na lab par aa.e

ek dukh ho use chhupā.eñ ham

ai tamaddun ke rāhat-o-ārām

haa.e kas tarah tum ko paa.eñ ham

log uThāte haiñ zindagī ke maze

ham uThāte haiñ nā-ḳhushī ke maze

dil-ruba lala ho faza teri

mujh ko bhai na ek ada teri

lutf se baDh ke hai jafa teri

wah-re hindostan wafa teri

main na manun kabhi tera kahna

main na baKHshun kabhi KHata teri

bar-tar-az-KHar hai tera gulshan

zahr se kam nahin hawa teri

KHali-az-kaifiyat teri har chiz

baat har ek be maza teri

dard-e-dil mein taDap ke mar jaun

main na DhunDun kabhi shifa teri

kaun si baat teri lutf-amez

kaun si chiz dil-kusha teri

tujh ko jannat-nishan kahte hain

hum jahannam ki jaan kahte hain

tujh ko kas baat par hai naz bata

kya nahin aur mulk tere siwa

teri aab o hawa latif sahi

tujh se baDh kar spain ka KHitta

tujh ko apni zamin ka hai ghamanD

tujh se afzal kahin hai america

hasan par apne naz hai tujh ko

hasan tujh se siwa etaliya ka

tujh ko ganga ka apni dhoka hai

tu ne dekha nahin hai sin ko ja

mausiqi par tujhe hai naz bahut

is mein juz dard-o-gham dhara hai kya

falsafa tera agle waqton ka

falsafa dekh ja ke europe ka

tujh mein phir aan kya rahi baqi

teri mahfil na kuchh na kuchh saqi

han murawwat ka tujh mein nam nahin

han uKHuwwat ka tujh mein nam nahin

tujh se bad-nam ishq sa ustad

aur mohabbat ka tujh mein nam nahin

aashti sikhe tujh se aa ke koi

han KHusumat ka tujh mein nam nahin

teri har baat mein safai hai

aur kudurat ka tujh mein nam nahin

tujh ko aur hurriyat se kya nisbat

is zarurat ka tujh mein nam nahin

shad hain taire apne begane

aur shikayat ka tujh mein nam nahin

teri tahzib tujh ko maujib-e-faKHr

han jahaalat ka tujh mein nam nahin

baat duniya se hai juda teri

wah ai hindostan ada teri

tere rasm-o-riwaj ne mara

is maraz ke ilaj ne mara

teri ghairat nai kar diya barbaad

KHandanon ke laj ne mara

kya karen har ghaDi yahi hai fikr

roz ki ehtiyaj ne mara

aae din call ka hai zikr-azkar

ek zara se anaj ne mara

aur sab par waba ka ek turra

is anokhe KHiraj ne mara

baKHt bargashta aarzuen bahut

hawas-e-sim-o-aj nai mara

na karen kaam kuchh to khaen kya

roz ke kaam-kaj ne mara

tu to rahne ka kuchh maqam nahin

tujh mein insaniyat ka nam nahin

qaid tu ne kiya hasinon ko

mah-jabinon ko nazninon ko

zewar-e-ilm se rakha aari

tu ne qudrat ke in naginon ko

iKHtiyar o pasand ki ai hind

kya zarurat na thi hasinon ko

KHub pahchani tu ne qadr in ki

KHub samjha tu in KHazinon ko

kuen jhankwae nazninon se

zahr khilwaya mah-jabinon ko

Dube jate hain kaun aa ke bachae

bahr-e-hasti ke in safinon ko

tu makan tha makan ho ke diya

KHauf-e-aram in makinon ko

tujh pe tahzib tan karti hai

tujh pe ilzam KHalq dharti hai

aarzu hai tujhe hukumat ki

jah-o-sarwat ki shan-o-shaukat ki

kyun na ho tujh mein himmat-e-ali

dhum har su hai teri jurat ki

to ne kasb-e-funun-e-jang kiya

sab mein shohrat hai teri quwwat ki

qasmen khate hain log duniya mein

teri millat teri uKHuwwat ki

mulk-dari mein mulk-giri mein

wah kya paida qabiliyyat ki

tu to ustad se bhi baDh nikla

hairat-angez tu ne mehnat ki

aap aalam mein tu hai apni misal

aadamiyyat ki aur shujaat ki

ham-sari ki kasi ko tab nahin

tera aafaq mein jawab nahin

dagh dil ke kise dikhaen hum

aisa mushfiq kahan se laen hum

dil mein hai apne ham-nashin ek roz

aap ro kar tujhe rulaen hum

is tabiat ko kas tarah bahlaen

dil ko kis chiz se lagaen hum

kab talak roz ke kahen sadme

kab talak aafaten uThaen hum

zahr kyun ai falak na hum kha len

ji se apne guzar na jaen hum

jo shikayat ho kyun na lab par aae

ek dukh ho use chhupaen hum

ai tamaddun ke rahat-o-aram

hae kas tarah tum ko paen hum

log uThate hain zindagi ke maze

hum uThate hain na-KHushi ke maze

Source :
  • Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 415)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
  • Edition : 1998

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now