Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHidmat-e-watan

Ahmaq Phaphoondvi

KHidmat-e-watan

Ahmaq Phaphoondvi

vatan ḳhidmat-e-be-laus hai har shaḳhs par lāzim

yahī vo kaam hai jo aadmī ke kaam aatā hai

lagā jaatī hai hubb-e-vatan meñ sar baazī bhī

ik aisā bhī vufūr-e-josh meñ hañgām aatā hai

palaTne ko hai qismat tumhārī ai vatan vaalo

tumhāre vāste ye arsh se paiġhām aatā hai

ġhulāmī duur hotī hai tumhārī ab koī dam meñ

hukūmat aur sardārī phir hañgām aatā hai

musībat hai ye bilkul aarzī is par na ghabrānā

bas ab aatā hai ahd-e-rāhat-o-ārām aatā hai

vahī phir bhī bazm hogī phir vahī rañgīniyāñ hoñgī

vahī paimāna aatā hai vahī phir jaam aatā hai

tum apnī nā-tavānī se pareshāñ is qadar kyuuñ ho

kabhī kamzor honā bhī bashar ke kaam aatā hai

miTā detā hai dam meñ naḳhvat-e-namrūd ik machchhar

kabhī aisā bhī daur-e-gardish-e-ayyām aatā hai

ḳhudā-rā is nizā-e-bāhamī ko ḳhatm farmā do

zarā socho ki tum par kis qadar ilzām aatā hai

kabhī chiḌtā hai gar mazkūr, qaumoñ jahālat

to sab se pahle kānoñ meñ tumhārā naam aatā hai

ye nukta yaad rakkho us ko bhūlā kah nahīñ sakte

jo vaqt-e-sub.h kar, ghar pe vaqt-e-shām aatā hai

watan ki KHidmat-e-be-laus hai har shaKHs par lazim

yahi wo kaam hai jo aadmi ke kaam aata hai

laga di jati hai hubb-e-watan mein sar ki bazi bhi

ek aisa bhi wufur-e-josh mein hangam aata hai

palaTne hi ko hai qismat tumhaari ai watan walo

tumhaare waste ye arsh se paigham aata hai

ghulami dur hoti hai tumhaari ab koi dam mein

hukumat aur sardari ka phir hangam aata hai

musibat hai ye bilkul aarzi is par na ghabrana

bas ab aata hai ahd-e-rahat-o-aram aata hai

wahi phir bhi bazm hogi phir wahi ranginiyan hongi

wahi paimana aata hai wahi phir jam aata hai

tum apni na-tawani se pareshan is qadar kyun ho

kabhi kamzor hona bhi bashar ke kaam aata hai

miTa deta hai dam mein naKHwat-e-namrud ek machchhar

kabhi aisa bhi daur-e-gardish-e-ayyam aata hai

KHuda-ra is niza-e-bahami ko KHatm farma do

zara socho ki tum par kis qadar ilzam aata hai

kabhi chiDta hai gar mazkur, qaumon ki jahaalat ka

to sab se pahle kanon mein tumhaara nam aata hai

ye nukta yaad rakkho us ko bhula kah nahin sakte

jo waqt-e-subh ja kar, ghar pe waqt-e-sham aata hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now