Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHak-e-hind

Chakbast Braj Narayan

KHak-e-hind

Chakbast Braj Narayan

ai ḳhāk-e-hind terī azmat meñ kyā gumāñ hai

dariya-e-faiz-e-qudarat tere liye ravāñ hai

tere jabīñ se nūr-e-husn-e-azal ayaañ hai

allāh-re zeb-o-zīnat kyā auj-e-izz-o-shāñ hai

har sub.h hai ye ḳhidmat ḳhurshīd-e-pur-ziyā

kirnoñ se gūñdhtā hai choTī himāliyā

is ḳhāk-e-dil-nashīñ se chashme hue vo jaarī

chiin o arab meñ jin se hotī thī ābiyārī

saare jahāñ pe jab thā vahshat abr taarī

chashm-o-charāġh-e-ālam thī sar-zamīñ hamārī

sham-e-adab na thī jab yūnāñ anjuman meñ

tābāñ thā mahr-e-dānish is vādī-e-kuhan meñ

'gautum' ne aabrū is ma.abad-e-kuhan ko

'sarmad' ne is zamīñ par sadqe kiyā vatan ko

'akbar' ne jām-e-ulfat baḳhshā is anjuman ko

sīñchā lahū se apne 'rānā' ne is chaman ko

sab sūrbīr apne is ḳhaak meñ nihāñ haiñ

TuuTe hue khañDar haiñ un haDDiyāñ haiñ

dīvār-o-dar se ab tak un asar ayaañ hai

apnī ragoñ meñ ab tak un lahū ravāñ hai

ab tak asar meñ Duubī nāqūs fuġhāñ hai

firdaus-e-gosh ab tak kaifiyyat-e-azāñ hai

kashmīr se ayaañ hai jannat rañg ab tak

shaukat se bah rahā hai dariyā-e-gañg ab tak

aglī tāzgī hai phūloñ meñ aur phaloñ meñ

karte haiñ raqs ab tak tā.ūs jañgaloñ meñ

ab tak vahī kaḌak hai bijlī bādaloñ meñ

pastī aa ga.ī hai par dil ke hausloñ meñ

gul sham-e-anjuman hai go anjuman vahī hai

hubb-e-vatan vahī hai ḳhāk-e-vatan vahī hai

barsoñ se ho rahā hai barham samāñ hamārā

duniyā se miT rahā hai nām-o-nishāñ hamārā

kuchh kam nahīñ ajal se ḳhvāb-e-girāñ hamārā

ik lāsh-e-be-kafan hai hindostān hamārā

ilm-o-kamāl o īmāñ barbād ho rahe haiñ

aish-o-tarab ke bande ġhaflat meñ so rahe haiñ

ai sūr-e-hubb-e-qaumī is ḳhvāb se jagā de

bhūlā huā fasāna kānoñ ko phir sunā de

murda tabī.atoñ afsurdagī miTā de

uThte hue sharāre is raakh se dikhā de

hubb-e-vatan samā.e āñkhoñ meñ nuur ho kar

sar meñ ḳhumār ho kar dil meñ surūr ho kar

shaidā-e-bostāñ ko sarv-o-saman mubārak

rañgīñ tabī.atoñ ko rañg-e-suḳhan mubārak

bulbul ko gul mubārak gul ko chaman mubārak

ham be-kasoñ ko apnā pyārā vatan mubārak

ġhunche hamāre dil ke is baaġh meñ khileñge

is ḳhaak se uThe haiñ is ḳhaak meñ mileñge

hai jū-e-shīr ham ko nūr-e-sahar vatan

āñkhoñ raushnī hai jalva is anjuman

hai rashk-e-mahr zarra is manzil-e-kuhan

tultā hai barg-e-gul se kāñTā bhī is chaman

gard-o-ġhubār yaañ ḳhil.at hai apne tan ko

mar kar bhī chāhte haiñ ḳhāk-e-vatan kafan ko

ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai

dariya-e-faiz-e-qudarat tere liye rawan hai

tere jabin se nur-e-husn-e-azal ayan hai

allah-re zeb-o-zinat kya auj-e-izz-o-shan hai

har subh hai ye KHidmat KHurshid-e-pur-ziya ki

kirnon se gundhta hai choTi himaliya ki

is KHak-e-dil-nashin se chashme hue wo jari

chin o arab mein jin se hoti thi aabiyari

sare jahan pe jab tha wahshat ka abr tari

chashm-o-charagh-e-alam thi sar-zamin hamari

sham-e-adab na thi jab yunan ki anjuman mein

taban tha mahr-e-danish is wadi-e-kuhan mein

'gautum' ne aabru di is mabad-e-kuhan ko

'sarmad' ne is zamin par sadqe kiya watan ko

'akbar' ne jam-e-ulfat baKHsha is anjuman ko

sincha lahu se apne 'rana' ne is chaman ko

sab surbir apne is KHak mein nihan hain

TuTe hue khanDar hain ya un ki haDDiyan hain

diwar-o-dar se ab tak un ka asar ayan hai

apni ragon mein ab tak un ka lahu rawan hai

ab tak asar mein Dubi naqus ki fughan hai

firdaus-e-gosh ab tak kaifiyyat-e-azan hai

kashmir se ayan hai jannat ka rang ab tak

shaukat se bah raha hai dariya-e-gang ab tak

agli si tazgi hai phulon mein aur phalon mein

karte hain raqs ab tak taus jangalon mein

ab tak wahi kaDak hai bijli ki baadalon mein

pasti si aa gai hai par dil ke hauslon mein

gul sham-e-anjuman hai go anjuman wahi hai

hubb-e-watan wahi hai KHak-e-watan wahi hai

barson se ho raha hai barham saman hamara

duniya se miT raha hai nam-o-nishan hamara

kuchh kam nahin ajal se KHwab-e-giran hamara

ek lash-e-be-kafan hai hindostan hamara

ilm-o-kamal o iman barbaad ho rahe hain

aish-o-tarab ke bande ghaflat mein so rahe hain

ai sur-e-hubb-e-qaumi is KHwab se jaga de

bhula hua fasana kanon ko phir suna de

murda tabiaton ki afsurdagi miTa de

uThte hue sharare is rakh se dikha de

hubb-e-watan samae aankhon mein nur ho kar

sar mein KHumar ho kar dil mein surur ho kar

shaida-e-bostan ko sarw-o-saman mubarak

rangin tabiaton ko rang-e-suKHan mubarak

bulbul ko gul mubarak gul ko chaman mubarak

hum be-kason ko apna pyara watan mubarak

ghunche hamare dil ke is bagh mein khilenge

is KHak se uThe hain is KHak mein milenge

hai ju-e-shir hum ko nur-e-sahar watan ka

aankhon ki raushni hai jalwa is anjuman ka

hai rashk-e-mahr zarra is manzil-e-kuhan ka

tulta hai barg-e-gul se kanTa bhi is chaman ka

gard-o-ghubar yan ka KHilat hai apne tan ko

mar kar bhi chahte hain KHak-e-watan kafan ko

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now