Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jashn-e-azadi

Arsh Malsiyani

jashn-e-azadi

Arsh Malsiyani

barq-raftārī pe apnī rashk kartā thā jahāñ

sū-e-āzādī hamārā qāfila thā tez-gām

sīkhnā hai lekin ab mai-ḳhāna-e-ta.amīr meñ

jumbish-e-nabz-e-tamannā o ḳhirām-e-daur-e-jām

manzil-e-maqsūd tak ye qaum saktī nahīñ

jis ke qabze meñ nahīñ asp-e-siyāsat lagām

ham ko bachnā chāhiye har us bure iqdām se

jis se ho matūn duniyā meñ vatan nek naam

ittihād o āshtī har dam raheñ pesh-e-nazar

jā-guzīñ dil meñ rahe zauq-e-amal bil-iltizām

daur-e-āzādī gauhar aish hai aish-e-halāl

dil ye kahtā hai ki yuuñ pāband honā hai harām

dil talqīnāt par pahle amal farmā.iye

shauq se phir jashn-e-āzādī manāte jā.iye

aish ke sāmāñ bhī hoñ aur farz ehsās bhī

jashn bhī ho ġham-zadoñ nāz-bardārī bhī ho

dāḳhil-e-ādāb-e-mai-noshī ho saaqī adab

mastiyāñ hoñ mastiyoñ ke saath hushyārī bhī ho

kuchh piyeñ aur kuchh bachā.eñ tishna-kāmoñ ke liye

sādgī naaz bhī andāz-e-purkārī bhī ho

haal ḳhātir ḳhirad-koshī hai mustahsan magar

bahr-e-mustaqbil junūn-e-zauq-e-bedārī bhī ho

narm-raftārī ho vaqt-e-sair-e-gulzār-e-tarab

rāh-e-pur-ḳhār-e-amal meñ garm-raftārī bhī ho

is ḳhushī ke vaqt kitne dil haiñ ġham se pā.emāl

lutf aa jaa.e agar in sab ġham-ḳhvārī bhī ho

rone vāloñ hañsī ko pahle vāpas lā.iye

shauq se phir jashn-e-āzādī manāte jā.iye

barq-raftari pe apni rashk karta tha jahan

su-e-azadi hamara qafila tha tez-gam

sikhna hai lekin ab mai-KHana-e-tamir mein

jumbish-e-nabz-e-tamanna o KHiram-e-daur-e-jam

manzil-e-maqsud tak ye qaum ja sakti nahin

jis ke qabze mein nahin asp-e-siyasat ki lagam

hum ko bachna chahiye har us bure iqdam se

jis se ho matun duniya mein watan ka nek nam

ittihad o aashti har dam rahen pesh-e-nazar

ja-guzin dil mein rahe zauq-e-amal bil-iltizam

daur-e-azadi ka gauhar aish hai aish-e-halal

dil ye kahta hai ki yun paband hona hai haram

dil ki talqinat par pahle amal farmaiye

shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye

aish ke saman bhi hon aur farz ka ehsas bhi

jashn bhi ho gham-zadon ki naz-bardari bhi ho

daKHil-e-adab-e-mai-noshi ho saqi ka adab

mastiyan hon mastiyon ke sath hushyari bhi ho

kuchh piyen aur kuchh bachaen tishna-kaamon ke liye

sadgi ka naz bhi andaz-e-purkari bhi ho

haal ki KHatir KHirad-koshi hai mustahsan magar

bahr-e-mustaqbil junun-e-zauq-e-bedari bhi ho

narm-raftari ho waqt-e-sair-e-gulzar-e-tarab

rah-e-pur-KHar-e-amal mein garm-raftari bhi ho

is KHushi ke waqt kitne dil hain gham se paemal

lutf aa jae agar in sab ki gham-KHwari bhi ho

rone walon ki hansi ko pahle wapas laiye

shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 196)
  • Author : Arsh Malsiyani
  • Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate, Lahore

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now