Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek jila-watan ki wapsi

Asrarul Haq Majaz

ek jila-watan ki wapsi

Asrarul Haq Majaz

phir ḳhabar garm hai vo jān-e-vatan aatā hai

phir vo zindānī-e-zindān-e-vatan aatā hai

vo ḳharāb-e-gul-o-raihān-e-vatan aatā hai

misr se yūsuf-e-kan.ān-e-vatan aatā hai

''koī ma.ashūq ba-sad-shaukat-o-nāz aatā hai

surḳh bairaq hai samundar meñ jahāz aatā hai''

riñd-e-be-kaif ko thī bāda-o-sāġhar talāsh

nāzir-e-manzar-e-fitrat ko thī manzar talāsh

ek bhañvre ko ḳhizāñ meñ thī gul-e-tar talāsh

ḳhud sanam-ḳhāna-e-āzar ko thī aazar talāsh

muzhda ai dost ki vo jān-e-bahār aa pahuñchā!

apne dāman meñ liye barq-o-sharār aa pahuñchā!

apnā parcham vo kuchh is andāz se lahrātā hai

rañg aġhyār ke chehroñ se uḌā jaatā hai

koī shādāñ, koī hairāñ, koī sharmātā hai

kaun ye sāhil-e-mashriq pe nazar aatā hai

apne maiḳhāne ik mai-kash-e-behāl hai ye

haañ vahī mard-e-javāñ-baḳht o javāñ-sāl hai ye

mard-e-sarkash tujhe aadam kahānī qasam

rūh-e-insāñ ke taqāzā-e-nihānī qasam

jazba-e-aish har shorish-e-fānī qasam

tujh ko apnī isī bad-mast javānī qasam

aa ki ik baar gale se to lagā leñ tujh ko

apne āġhosh-e-mohabbat meñ uThā leñ tujh ko

nutq to ab bhī hai par shola-fishāñ hai ki nahīñ

soz-e-pinhāñ se tirī ruuh tapāñ hai ki nahīñ

tujh pe ye baar ġhulāmī girāñ hai ki nahīñ

jism meñ ḳhuun javānī ravāñ hai ki nahīñ

aur agar hai to phir aa tere parastār haiñ ham

jins-e-āzādī-e-insāñ ke ḳharīdār haiñ ham

saaqī o rind tire haiñ mai-e-gulfām tirī

uTh ki āsūda hai phir hasrat-e-nākām tirī

barhaman tere haiñ kul millat-e-islām tirī

sub.h-e-kāshī tirī, sañgam hasīñ shaam tirī

dekh shamshīr hai ye saaz hai ye jaam hai ye

jo shamshīr uThā le to baḌā kaam hai ye

dekh badlā nazar aatā hai gulistāñ samāñ

sāġhar o saaz na le, jañg ke na.are haiñ yahāñ

ye duā.eñ haiñ vo mazlūm aahoñ dhuāñ

mā.il-e-jañg nazar aatā hai har mard-e-javāñ

sarfaroshān-e-balā-kash sahārā ban

uTh aur aflāk-e-baġhāvat sitārā ban

phir KHabar garm hai wo jaan-e-watan aata hai

phir wo zindani-e-zindan-e-watan aata hai

wo KHarab-e-gul-o-raihan-e-watan aata hai

misr se yusuf-e-kanan-e-watan aata hai

koi mashuq ba-sad-shaukat-o-naz aata hai

surKH bairaq hai samundar mein jahaz aata hai

rind-e-be-kaif ko thi baada-o-saghar ki talash

nazir-e-manzar-e-fitrat ko thi manzar ki talash

ek bhanwre ko KHizan mein thi gul-e-tar ki talash

KHud sanam-KHana-e-azar ko thi aazar ki talash

muzhda ai dost ki wo jaan-e-bahaar aa pahuncha!

apne daman mein liye barq-o-sharar aa pahuncha!

apna parcham wo kuchh is andaz se lahraata hai

rang aghyar ke chehron se uDa jata hai

koi shadan, koi hairan, koi sharmata hai

kaun ye sahil-e-mashriq pe nazar aata hai

apne maiKHane ka ek mai-kash-e-behaal hai ye

han wahi mard-e-jawan-baKHt o jawan-sal hai ye

mard-e-sarkash tujhe aadam ki kahani ki qasam

ruh-e-insan ke taqaza-e-nihani ki qasam

jazba-e-aish ki har shorish-e-fani ki qasam

tujh ko apni isi bad-mast jawani ki qasam

aa ki ek bar gale se to laga len tujh ko

apne aaghosh-e-mohabbat mein uTha len tujh ko

nutq to ab bhi hai par shola-fishan hai ki nahin

soz-e-pinhan se teri ruh tapan hai ki nahin

tujh pe ye bar ghulami ka giran hai ki nahin

jism mein KHun jawani ka rawan hai ki nahin

aur agar hai to phir aa tere parastar hain hum

jins-e-azadi-e-insan ke KHaridar hain hum

saqi o rind tere hain mai-e-gulfam teri

uTh ki aasuda hai phir hasrat-e-nakaam teri

barhaman tere hain kul millat-e-islam teri

subh-e-kashi tiri, sangam ki hasin sham teri

dekh shamshir hai ye saz hai ye jam hai ye

tu jo shamshir uTha le to baDa kaam hai ye

dekh badla nazar aata hai gulistan ka saman

saghar o saz na le, jang ke nare hain yahan

ye duaen hain wo mazlum ki aahon ka dhuan

mail-e-jang nazar aata hai har mard-e-jawan

sarfaroshan-e-bala-kash ka sahaara ban ja

uTh aur aflak-e-baghawat ka sitara ban ja

Source :
  • Book : Aahang (Pg. 122)
  • Author : Asrar-ul-Haq Majaz
  • Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
  • Edition : 2011

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now