nilam
tum meñ vo kaun hai jo yūsuf-e-kan'āñ ke liye āḳhrī bolī degā
sab ġhulām ek se hote to ye nīlām bhalā kis liye barpā hotā
aur ye yūsuf-e-kan'āñ to hai sūrat-gar-e-kaunain kā me'yār-e-jamāl
dāman-o-jeb ko tum sīm-o-zar-o-lā'l-o-javāhar se to bhar laa.e ho
vo magar aur hī daulat hai jo darkār hai yūsuf ke ḳharīdāroñ ko
tum use kuchh bhī kaho suut kī anTī ki tahī-dast mohabbat kā malāl
tum mein wo kaun hai jo yusuf-e-kan'an ke liye aaKHri boli dega
sab ghulam ek se hote to ye nilam bhala kis liye barpa hota
aur ye yusuf-e-kan'an to hai surat-gar-e-kaunain ka me'yar-e-jamal
daman-o-jeb ko tum sim-o-zar-o-la'l-o-jawahar se to bhar lae ho
wo magar aur hi daulat hai jo darkar hai yusuf ke KHaridaron ko
tum use kuchh bhi kaho sut ki anTi ki tahi-dast mohabbat ka malal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.