Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mar chuka hai

Sarmad Sahbai

wo mar chuka hai

Sarmad Sahbai

vo jis ke raste pe baal khole

nagar sab laḌkiyāñ khaḌī haiñ

vo mar chukā hai

vo mar chukā hai

ki jis ḳhātir nagar nau umr laḌkiyoñ ne

badan ḳhush-rañg zīnatoñ ko

chhupā ke rakkhā

jinhoñ ne betāb hiddatoñ ko

badan phaT paḌtī shiddatoñ ko

sambhāle rakkhā

jinhoñ ne āñkhoñ ke nam ko sharm-o-hayā ke āñchal oT Dhāñpā

vo mar chukā hai

vo jis ke raste pe baal khole

nagar sab laḌkiyāñ khaḌī haiñ

nagar sab laḌkiyāñ pukāreñ

badal ke vo bhes bādaloñ

hamāre taaza kuñvāre jismoñ soñdhī miTTī se aa ke lipTe

hamārā ḳhuun buuñd buuñd

gūñdhe

ham is ke saa.e se hāmila huuñ

nagar sab laḌkiyāñ pukāreñ

kabhī vo gūñje gajar sūrat

hamāre sunsān gumbadoñ meñ

kabhī vo bhaḌke alaav ban kar

hamāre yak tāqchoñ meñ

kabhī vo jismoñ bañsiyoñ meñ

shigāf Daale

lazīz dardīlā giit ban kar

laboñ se nikle

kabhī vo chamke sitāra ban kar

hamārī kokhoñ meñ phuul mahkeñ

hamārī kokhoñ meñ phal janam le

nagar sab laḌkiyāñ pukāreñ

nagar sab laḌkiyāñ pukāreñ

hamārī ḳhvāhish vo duudh ban kar

hamārī zarḳhez chhātiyoñ namī meñ utre

hamārī ḳhvāhish hamāre bachche

usī ke hāthoñ meñ aañkh kholīñ

ham us ke saa.e se hāmila hoñ

nagar sab laḌkiyāñ pukāreñ

kabhī vo pichhle pahar darīchoñ pe khulte mahtāb se ye kahtīñ

kahāñ hai vo shahsavār jis ko

ba-vaqt ruḳhsat gale meñ ham ne

safed phūloñ ke haar Daale

vo phuul kab surḳh phuul ban kar

hamārī vīrān ḳhvāb-gāhoñ sej hoñge

sindūr kab kab maiñ maiñ

ye phuul kab surḳh phuul hoñge

kabhī vo tanhā barāmde ke sutūn se lipTī

lachaktī beloñ ke zard pattoñ se pūchhtīñ ye

bahār rut kahāñ khaḌī hai

ye phuul ab kis se khileñge

bahār rut abhī kahāñ hai

har ik musāfir ko roktīñ vo

batāo vo shahsavār ab kab

nagar ko lauTegā pūchhtīñ vo

kuñvāre lamhoñ bhed kuñvāra

kuñvāre gītoñ lai kuñvārī

kuñvāre jismoñ kachchī kaliyoñ nam kuñvāra

nagar tamām nau-umr laḌkiyoñ ne

kalī kalī ko sambhāle rakkhā

ki vo agar aa.e os ban kar

to qatra qatra kalī meñ utre

kalī ko khole

magar vo lafzoñ ke dā.eroñ ke safar se guzrā

purānī sunsān sīḌhiyoñ ke bhañvar se niklā

jo ghar se bāhar hazār anjāne rāstoñ par bikhar gayā thā

ki bujhte sūraj khoj paa.e

har ek saa.e bhed khole

jo apnī āñkhoñ meñ ḳhvāhishoñ alaav le kar

añdhere jañgal meñ chal rahā thā

jo pūchhtā thā

gyaan kiyā hai

jo pūchhtā thā najāt kis meñ hai

asl kyā hai

vo mar chukā hai

vo jis ke raste pe baal khole

nagar sab laḌkiyāñ khaḌī haiñ

wo jis ke raste pe baal khole

nagar ki sab laDkiyan khaDi hain

wo mar chuka hai

wo mar chuka hai

ki jis ki KHatir nagar ki nau umr laDkiyon ne

badan ki KHush-rang zinaton ko

chhupa ke rakkha

jinhon ne betab hiddaton ko

badan ki phaT paDti shiddaton ko

sambhaale rakkha

jinhon ne aankhon ke nam ko sharm-o-haya ke aanchal ki oT Dhanpa

wo mar chuka hai

wo jis ke raste pe baal khole

nagar ki sab laDkiyan khaDi hain

nagar ki sab laDkiyan pukaren

badal ke wo bhes baadalon ka

hamare taza kunware jismon ki sondhi miTTi se aa ke lipTe

hamara KHun bund bund

gundhe

hum is ke sae se hamila hun

nagar ki sab laDkiyan pukaren

kabhi wo gunje gajar ki surat

hamare sunsan gumbadon mein

kabhi wo bhaDke alaw ban kar

hamare ta yak taqchon mein

kabhi wo jismon ki bansiyon mein

shigaf Dale

laziz dardila git ban kar

labon se nikle

kabhi wo chamke sitara ban kar

hamari kokhon mein phul mahken

hamari kokhon mein phal janam le

nagar ki sab laDkiyan pukaren

nagar ki sab laDkiyan pukaren

hamari KHwahish wo dudh ban kar

hamari zarKHez chhatiyon ki nami mein utre

hamari KHwahish hamare bachche

usi ke hathon mein aankh kholin

hum us ke sae se hamila hon

nagar ki sab laDkiyan pukaren

kabhi wo pichhle pahar darichon pe khulte mahtab se ye kahtin

kahan hai wo shahsawar jis ko

ba-waqt ruKHsat gale mein hum ne

safed phulon ke haar Dale

wo phul kab surKH phul ban kar

hamari viran KHwab-gahon ki sej honge

sindur kab kab main main ga

ye phul kab surKH phul honge

kabhi wo tanha baramde ke sutun se lipTi

lachakti belon ke zard patton se puchhtin ye

bahaar ki rut kahan khaDi hai

ye phul ab kis se khilenge

bahaar ki rut abhi kahan hai

har ek musafir ko roktin wo

batao wo shahsawar ab kab

nagar ko lauTega puchhtin wo

kunware lamhon ka bhed kunwara

kunware giton ki lai kunwari

kunware jismon ki kachchi kaliyon ka nam kunwara

nagar ki tamam nau-umr laDkiyon ne

kali kali ko sambhaale rakkha

ki wo agar aae os ban kar

to qatra qatra kali mein utre

kali ko khole

magar wo lafzon ke daeron ke safar se guzra

purani sunsan siDhiyon ke bhanwar se nikla

jo ghar se bahar hazar anjaane raston par bikhar gaya tha

ki bujhte suraj ka khoj pae

har ek sae ka bhed khole

jo apni aankhon mein KHwahishon ka alaw le kar

andhere jangal mein chal raha tha

jo puchhta tha

gyan kiya hai

jo puchhta tha najat kis mein hai

asl kya hai

wo mar chuka hai

wo jis ke raste pe baal khole

nagar ki sab laDkiyan khaDi hain

Source :
  • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 56)
  • Author : Zahid Hasan
  • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
  • Edition : 2002

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now