Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek waqt mein ek kaam

Ismail Merathi

ek waqt mein ek kaam

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    hai kaam ke vaqt kaam achchhā

    aur khel ke vaqt khel zebā

    jab kaam vaqt ho karo kaam

    bhūle se bhī khel na lo naam

    haañ khel ke vaqt ḳhuub khelo

    kuudo phāñdo ki DañD pelo

    ḳhush rahne hai yahī tarīqa

    har baat sīkhiye salīqa

    himmat ko na hāriyo ḳhudā-rā

    mat DhūñDiyo ġhair sahārā

    apnī himmat se kaam karnā

    mushkil ho to chāhiye na Darnā

    jo kuchh ho so apne dam qadam se

    kyā kaam hai ġhair ke karam se

    mat chhoḌiyo kaam ko adhūrā

    be-kār hai jo huā na puurā

    har vaqt maiñ sirf ek kaam

    saktā hai behtarī se anjām

    jab kaam meñ kaam aur chheḌā

    donoñ meñ paḌ gayā bakheḌā

    jo vaqt guzar gayā akārat

    afsos! huā ḳhazāna ġhārat

    hai kaam ke vaqt kaam achchhā

    aur khel ke vaqt khel zebā

    hai kaam ke waqt kaam achchha

    aur khel ke waqt khel zeba

    jab kaam ka waqt ho karo kaam

    bhule se bhi khel ka na lo nam

    han khel ke waqt KHub khelo

    kudo phando ki DanD pelo

    KHush rahne ka hai yahi tariqa

    har baat ka sikhiye saliqa

    himmat ko na haariyo KHuda-ra

    mat DhunDiyo ghair ka sahaara

    apni himmat se kaam karna

    mushkil ho to chahiye na Darna

    jo kuchh ho so apne dam qadam se

    kya kaam hai ghair ke karam se

    mat chhoDiyo kaam ko adhura

    be-kar hai jo hua na pura

    har waqt main sirf ek hi kaam

    pa sakta hai behtari se anjam

    jab kaam mein kaam aur chheDa

    donon hi mein paD gaya bakheDa

    jo waqt guzar gaya akarat

    afsos! hua KHazana ghaarat

    hai kaam ke waqt kaam achchha

    aur khel ke waqt khel zeba

    Source :
    • Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 49)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now