Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pahaD aur gilahri

Allama Iqbal

ek pahaD aur gilahri

Allama Iqbal

Interesting Fact

dedicated to children (inspired by Emerson's verses)

koī pahāḌ ye kahtā thā ik gilahrī se

tujhe ho sharm to paanī meñ ke Duub mare

zarā chiiz hai is par ġhurūr! kyā kahnā!

ye aql aur ye samajh ye shu.ūr! kyā kahnā!

ḳhudā shaan hai nā-chīz! chiiz ban baiTheñ!

jo be-shu.ūr hoñ yuuñ bā-tamīz ban baiTheñ!

tirī bisāt hai kyā merī shaan ke aage

zamīñ hai past mirī ān-bān ke aage

jo baat mujh meñ hai tujh ko vo hai nasīb kahāñ

bhalā pahāḌ kahāñ jānvar ġharīb kahāñ!

kahā ye sun ke gilahrī ne muñh sambhāl zarā

ye kachchī bāteñ haiñ dil se inheñ nikāl zarā!

jo maiñ baḌī nahīñ terī tarah to kyā parvā!

nahīñ hai bhī to āḳhir mirī tarah chhoTā

har ek chiiz se paidā ḳhudā qudarat hai

koī baḌā koī chhoTā ye us hikmat hai

baḌā jahān meñ tujh ko banā diyā us ne

mujhe daraḳht pe chaḌhnā sikhā diyā us ne

qadam uThāne tāqat nahīñ zarā tujh meñ

nirī baḌā.ī hai! ḳhūbī hai aur kyā tujh meñ

jo baḌā hai to mujh hunar dikhā mujh ko

ye chhāliyā zarā toḌ kar dikhā mujh ko

nahīñ hai chiiz nikammī koī zamāne meñ

koī burā nahīñ qudarat ke kār-ḳhāne meñ

koi pahaD ye kahta tha ek gilahri se

tujhe ho sharm to pani mein ja ke Dub mare

zara si chiz hai is par ghurur! kya kahna!

ye aql aur ye samajh ye shuur! kya kahna!

KHuda ki shan hai na-chiz! chiz ban baiThen!

jo be-shuur hon yun ba-tamiz ban baiThen!

teri bisat hai kya meri shan ke aage

zamin hai past meri aan-ban ke aage

jo baat mujh mein hai tujh ko wo hai nasib kahan

bhala pahaD kahan jaanwar gharib kahan!

kaha ye sun ke gilahri ne munh sambhaal zara

ye kachchi baaten hain dil se inhen nikal zara!

jo main baDi nahin teri tarah to kya parwa!

nahin hai tu bhi to aaKHir meri tarah chhoTa

har ek chiz se paida KHuda ki qudarat hai

koi baDa koi chhoTa ye us ki hikmat hai

baDa jahan mein tujh ko bana diya us ne

mujhe daraKHt pe chaDhna sikha diya us ne

qadam uThane ki taqat nahin zara tujh mein

niri baDai hai! KHubi hai aur kya tujh mein

jo tu baDa hai to mujh sa hunar dikha mujh ko

ye chhaaliya hi zara toD kar dikha mujh ko

nahin hai chiz nikammi koi zamane mein

koi bura nahin qudarat ke kar-KHane mein

Source :
  • Book : کلیات اقبال (Pg. 31)
  • Author : علامہ اقبال
  • Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now