Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aata hai yaad mujhko

Zafar Kamali

aata hai yaad mujhko

Zafar Kamali

aatā hai yaad mujh ko schōl zamānā

vo dostoñ sohbat vo qahqahe lagānā

anvar aziiz raajū munnū ke saath mil kar

vo tāliyāñ bajānā bandar ko muñh chiḌānā

ro ro ke māñgnā vo ammī se roz paise

ke hoTaloñ meñ barfī malā.ī khānā

paḌhne ko jab bhī ghar par kahte the mere bhaa.ī

kartā thā dard-e-sar akasr maiñ bahānā

miltī nahīñ thī fursat din raat khelne se

yuuñ rā.egāñ huā thā paḌhne vo zamānā

kaise kahūñ kisī se ab kyā hai haal merā

khāne ko mushkiloñ se miltā hai ek daanā

har ik qadam pe lagtī hai Thokaroñ pe Thokar

kar rahūñ kahāñ par miltā nahīñ Thikānā

afsar bane haiñ is dam mere ham-jamā.at

un se hayā ke maare paḌtā hai muñh chhupānā

bachcho na tum samajhnā hargiz ise kahānī

ye hai tumhāre haq meñ ibrat tāziyāna

hogā bhalā tumhārā sun lo 'zafar' bāteñ

khelo zarūr lekin paḌhne meñ dil lagānā

aata hai yaad mujh ko school ka zamana

wo doston ki sohbat wo qahqahe lagana

anwar aziz raju munnu ke sath mil kar

wo taliyan bajaana bandar ko munh chiDana

ro ro ke mangna wo ammi se roz paise

ja ja ke hoTalon mein barfi malai khana

paDhne ko jab bhi ghar par kahte the mere bhai

karta tha dard-e-sar ka akasr hi main bahana

milti nahin thi fursat din raat khelne se

yun raegan hua tha paDhne ka wo zamana

kaise kahun kisi se ab kya hai haal mera

khane ko mushkilon se milta hai ek dana

har ek qadam pe lagti hai Thokaron pe Thokar

ja kar rahun kahan par milta nahin Thikana

afsar bane hain is dam mere hi ham-jamaat

un se haya ke mare paDta hai munh chhupana

bachcho na tum samajhna hargiz ise kahani

ye hai tumhaare haq mein ibrat ka taziyana

hoga bhala tumhaara sun lo 'zafar' ki baaten

khelo zarur lekin paDhne mein dil lagana

Source :
  • Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 40)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now