kaghazi pairahan-e-‘ishq wo e'jaz-nawa
wo naqib-e-abadi nama-bar-e-shahr-e-wafa
fikr-e-rangin teri paband-e-mazahir na hui
majlis-e-rang se aazad raha duzd-e-hina
tu ne insan ko baKHsha wo shu'ur-e-jawed
aa gai 'adl ke hathon mein sitam-gar ki qaba
zaKHm-e-dil tere na the dahr mein mohtaj-e-rafu
chaak-e-daman ka pata chaak-e-gireban se mila
jab bhi ki nutq ne tere gham-e-dil ki tafsir
qatra-e-KHun ki tarah lab se hua harf juda
fan-e-aina-gari jins hai kam-yab bahut
'ishq aaina-shikan husn hai aaina-numa
tu hama 'ishrat-e-KHud-raftagi-e-kaif-e-hayat
chashm-e-maKHmur teri saghar-o-mina se KHafa
subh-dam sunti hai gulshan mein koi ruh-e-jamil
naghma-e-gul mein tere dil ke dhaDakne ki sada
lab pe aaya jo tera misra'-e-KHush-rang koi
main ne jaana ki sar-e-shaKH koi phul khila
partw-e-mah se hai misl-e-katan safha-e-dil
KHirman-e-barq-zada daftar-e-ash'ar mera
kaun mahfil mein ghazal-KHwan hai bayaad-e-'ghaalib'
gungunati hai samarqand-o-buKHara ki hawa