Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhigi kali raat ki beTi

Fahmida Riaz

bhigi kali raat ki beTi

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    is kī āġhosh meñ kitnī garmī hai

    maiñ kis tarah is kī āġhosh ko chhoḌ duuñ

    is ke hoñToñ kī mānūs ḳhushbū mujhe kar chukī hai asiir

    is ko mā'lūm kyā

    mere kamre ke bāhar bahut zor se

    merī khiḌkī pe sar ko paTaktī huī

    chal rahī hai jo sarmā kī tīkhī havā

    ghir ke umḌī chalī aa rahī hai jo pachchhim se kaalī ghaTā

    ghup añdhere ke siine meñ gūñjī hai jo

    būñdiyoñ kī sadā

    in se bachpan kā merā baḌā saath hai

    is ki aaghosh mein kitni garmi hai

    main kis tarah is ki aaghosh ko chhoD dun

    is ke honTon ki manus KHushbu mujhe kar chuki hai asir

    is ko ma'lum kya

    mere kamre ke bahar bahut zor se

    meri khiDki pe sar ko paTakti hui

    chal rahi hai jo sarma ki tikhi hawa

    ghir ke umDi chali aa rahi hai jo pachchhim se kali ghaTa

    ghup andhere ke sine mein gunji hai jo

    bundiyon ki sada

    in se bachpan ka mera baDa sath hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now