Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abr uTha wo na-gahan

Josh Malihabadi

abr uTha wo na-gahan

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    abr uThā vo nā-gahāñ

    naġhma-zanāñ tarāna-ḳhvāñ

    tund 'ināñ ravāñ-davāñ

    raqs-kunāñ-o-par-fishāñ

    sāqī-e-bāda-fām haañ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    surḳh-o-siyāh-o-roz-o-shab

    ġharq-e-talātum-e-'enab

    arz-o-samā-ba-sad-tarab

    sīna-ba-sīna lab-ba-lab

    chashm-ba-chashm jāñ-ba-jāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    hamhama hāo-hū humak

    dhuum dhamak duhal damak

    jhuum jhaḌī jhalak jhamak

    guuñj garaj ghumar gamak

    koh-o-kamar kashāñ kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    gang-o-jaman meñ khalbalī

    dasht-o-jabal pe tīrgī

    tāq-o-ravāq agra.ī

    past-o-buland surma.ī

    arz-o-samā dhuāñ dhuāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    abr-e-siyah jhukā rukā

    'umr-e-ravāñ rasan-ba-pā

    zulmat-o-nūr ham-ridā

    nasb hai ḳhema vaqt kā

    shām-o-sahar ke darmiyāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    charḳh-e-tarāna-bār par

    chādar-e-zar-nigār par

    jāda-e-lāla-kār par

    meñh ke har ek taar par

    dhunkī huī dhanak davāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    ġharq-e-nashāt bahr-o-bar

    āb-e-ġhinā kamar kamar

    thaap kī guuñj al-hazar

    jhuum ga.e shajar hajar

    kuuk uThīñ javāniyāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    khol rahī hai baal nai

    ghol rahī hai sur meñ lai

    tol rahī hai ruḳh ko mai

    Dol rahā hai farr-e-kai

    bol rahī haiñ añkhḌiyāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    sāñvaliyāñ mahak ga.iiñ

    nashsha chaḌhā dahak ga.iiñ

    mast huiiñ bahak ga.iiñ

    chūḌiyāñ sab khanak ga.iiñ

    tan meñ kaḌak uThī kahāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    raqs ke phir 'alam gaḌe

    lai ne havā pe nag jaḌe

    bajne lage kaḌe chhaḌe

    kaif meñ paaoñ yuuñ paḌe

    farsh huā ravāñ-davāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    gaaye nirat meñ valvale

    bhaao meñ bol jaag uThe

    taal ke baal khul ga.e

    haath uThe juḌe juḌe

    qaus-e-quzah kā sā.ibāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e--mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    jhuul rahe haiñ sīm-tan

    jhuum rahā hai bāñkpan

    zer-o-zabar hai phūl-ban

    chīḳh rahe haiñ yuuñ badan

    guuñj rahī haiñ choliyāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    bāhama-shoḳhī-o-fusūñ

    zer-e-navā-e-arġhanūñ

    sharm kī jhalkiyāñ haiñ yuuñ

    jaise khaḌī haiñ sar-nigūñ

    byāhiyoñ meñ kuñvāriyāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    uff ye raqīq oḌhnī

    būñdiyoñ kī banī huī

    mai meñ samoī sarḳhushī

    nai meñ Dhalī shaguftagī

    lai meñ piroī būñdiyāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    sū-e-zamīñ ghaTā chalī

    chhā.ī ghaTā fazā chalī

    gaa.ī fazā havā chalī

    aa.ī havā navā chalī

    zer-e-navā chhanan chhanāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    āb-e-ravāñ sharar sharar

    oltiyāñ jharar jharar

    barq-e-tapāñ karar karar

    jām-o-subū jigar jigar

    charḳh-e-kuhan ghanan ghanan

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    kaag uḌe jalā agar

    parda hilā uThī nazar

    aa.ī vo duḳhtar-e-qamar

    shīshe jhuke bajā gajar

    qulqul-e-mai ne dī azaañ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    uff ye ġhazāla-ḳhū safar

    uff ye ḳharosh-e-bāl-o-par

    bahr-e-ḳhudā Thahar Thahar

    farsh-e-zamīñ kidhar kidhar

    charḳh-e-barīñ kahāñ kahāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    muzhda ho ḳhail-e-mai-kashāñ

    abr uThā vo nā-gahāñ

    abr uTha wo na-gahan

    naghma-zanan tarana-KHwan

    tund 'inan rawan-dawan

    raqs-kunan-o-par-fishan

    saqi-e-baada-fam han

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    surKH-o-siyah-o-roz-o-shab

    gharq-e-talatum-e-'enab

    arz-o-sama-ba-sad-tarab

    sina-ba-sina lab-ba-lab

    chashm-ba-chashm jaan-ba-jaan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    hamhama hao-hu humak

    dhum dhamak duhal damak

    jhum jhaDi jhalak jhamak

    gunj garaj ghumar gamak

    koh-o-kamar kashan kashan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    gang-o-jaman mein khalbali

    dasht-o-jabal pe tirgi

    taq-o-rawaq agrai

    past-o-buland surmai

    arz-o-sama dhuan dhuan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    abr-e-siyah jhuka ruka

    'umr-e-rawan rasan-ba-pa

    zulmat-o-nur ham-rida

    nasb hai KHema waqt ka

    sham-o-sahar ke darmiyan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    charKH-e-tarana-bar par

    chadar-e-zar-nigar par

    jada-e-lala-kar par

    meinh ke har ek tar par

    dhunki hui dhanak dawan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    gharq-e-nashat bahr-o-bar

    aab-e-ghina kamar kamar

    thap ki gunj al-hazar

    jhum gae shajar hajar

    kuk uThin jawaniyan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    khol rahi hai baal nai

    ghol rahi hai sur mein lai

    tol rahi hai ruKH ko mai

    Dol raha hai farr-e-kai

    bol rahi hain ankhDiyan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    sanwaliyan mahak gain

    nashsha chaDha dahak gain

    mast huin bahak gain

    chuDiyan sab khanak gain

    tan mein kaDak uThi kahan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    raqs ke phir 'alam gaDe

    lai ne hawa pe nag jaDe

    bajne lage kaDe chhaDe

    kaif mein paon yun paDe

    farsh hua rawan-dawan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    gaye nirat mein walwale

    bhao mein bol jag uThe

    tal ke baal khul gae

    hath uThe juDe juDe

    qaus-e-quzah ka saiban

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e--mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    jhul rahe hain sim-tan

    jhum raha hai bankpan

    zer-o-zabar hai phul-ban

    chiKH rahe hain yun badan

    gunj rahi hain choliyan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    bahama-shoKHi-o-fusun

    zer-e-nawa-e-arghanun

    sharm ki jhalkiyan hain yun

    jaise khaDi hain sar-nigun

    byahiyon mein kunwariyan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    uff ye raqiq oDhni

    bundiyon ki bani hui

    mai mein samoi sarKHushi

    nai mein Dhali shaguftagi

    lai mein piroi bundiyan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    su-e-zamin ghaTa chali

    chhai ghaTa faza chali

    gai faza hawa chali

    aai hawa nawa chali

    zer-e-nawa chhanan chhanan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    aab-e-rawan sharar sharar

    oltiyan jharar jharar

    barq-e-tapan karar karar

    jam-o-subu jigar jigar

    charKH-e-kuhan ghanan ghanan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    kag uDe jala agar

    parda hila uThi nazar

    aai wo duKHtar-e-qamar

    shishe jhuke baja gajar

    qulqul-e-mai ne di azan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    uff ye ghazala-KHu safar

    uff ye KHarosh-e-baal-o-par

    bahr-e-KHuda Thahar Thahar

    farsh-e-zamin kidhar kidhar

    charKH-e-barin kahan kahan

    abr uTha wo na-gahan

    muzhda ho KHail-e-mai-kashan

    abr uTha wo na-gahan

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now