Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazadi-e-watan

Makhdoom Mohiuddin

aazadi-e-watan

Makhdoom Mohiuddin

kaho hindostāñ jai

kaho hindostāñ jai

qasam hai ḳhuun se sīñche hue rañgīñ gulistāñ

qasam hai ḳhūn-e-dahqāñ qasam ḳhūn-e-shahīdāñ

ye mumkin hai ki duniyā ke samundar ḳhushk ho jaa.eñ

ye mumkin hai ki dariyā bahte bahte thak ke so jaa.eñ

jalānā chhoḌ deñ dozaḳh ke añgāre ye mumkin hai

ravānī tark kar deñ barq ke dhāre ye mumkin hai

zamīn-e-pāk ab nāpākiyoñ ko Dho nahīñ saktī

vatan sham-e-āzādī kabhī gul ho nahīñ saktī

kaho hindostāñ jai

kaho hindostāñ jai

vo hindī naujavāñ ya.anī alam-bardār-e-āzādī

vatan pāsbāñ vo teġh-e-jauhar-dār-e-āzādī

vo pākīza sharāra bijliyoñ ne jis ko dhoyā hai

vo añgāra ki jis meñ ziist ne ḳhud ko samoyā hai

vo sham-e-zindagānī āñdhiyoñ ne jis ko paalā hai

ik aisī naav tūfānoñ ne ḳhud jis ko sambhālā hai

vo Thokar jis se giitī larza-bar-andām rahtī hai

vo dhārā jis ke siine par amal naav bahtī hai

chhupī ḳhāmosh aa.heñ shor-e-mahshar ban ke niklī haiñ

dabī chiñgāriyāñ ḳhurshīd-e-ḳhāvar ban ke niklī haiñ

badal naujavān-e-hind ne taqdīr zindāñ

mujāhid nazar se kaT ga.ī zanjīr zindāñ

kaho hindostāñ jai

kaho hindostāñ jai

kaho hindostāñ jai.......

kaho hindostan ki jai

kaho hindostan ki jai

qasam hai KHun se sinche hue rangin gulistan ki

qasam hai KHun-e-dahqan ki qasam KHun-e-shahidan ki

ye mumkin hai ki duniya ke samundar KHushk ho jaen

ye mumkin hai ki dariya bahte bahte thak ke so jaen

jalana chhoD den dozaKH ke angare ye mumkin hai

rawani tark kar den barq ke dhaare ye mumkin hai

zamin-e-pak ab napakiyon ko Dho nahin sakti

watan ki sham-e-azadi kabhi gul ho nahin sakti

kaho hindostan ki jai

kaho hindostan ki jai

wo hindi naujawan yani alam-bardar-e-azadi

watan ki pasban wo tegh-e-jauhar-dar-e-azadi

wo pakiza sharara bijliyon ne jis ko dhoya hai

wo angara ki jis mein zist ne KHud ko samoya hai

wo sham-e-zindagani aandhiyon ne jis ko pala hai

ek aisi naw tufanon ne KHud jis ko sambhaala hai

wo Thokar jis se giti larza-bar-andam rahti hai

wo dhaara jis ke sine par amal ki naw bahti hai

chhupi KHamosh aahen shor-e-mahshar ban ke nikli hain

dabi chingariyan KHurshid-e-KHawar ban ke nikli hain

badal di naujawan-e-hind ne taqdir zindan ki

mujahid ki nazar se kaT gai zanjir zindan ki

kaho hindostan ki jai

kaho hindostan ki jai

kaho hindostan ki jai

Source :
  • Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 98)
  • Author : Sibte Hasan
  • Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (1985(Urdu Acadami U.P,2007 (Urdu Council Adition))
  • Edition : 1985(Urdu Acadami U.P,2007 (Urdu Council Adition)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now