KHud-kalami
dil ke āñgan meñ vo lahrātī huī parchhā.iyāñ
aur kivāḌoñ par vo pyāsī dastakeñ
zehn par chhāyā huā bedār ḳhvāboñ kā tilism
be-mahābā dhaḌkaneñ
dhaḌkanoñ ke saaz par lamhāt kā sail-e-ravāñ
bārhā ubhre haiñ apne āñsuoñ meñ Duub kar
barf-bārī kā ye mausam
aur yaḳh-basta fazā
duur tak zulmat ke kohsāroñ kā andhā silsila
kaise kāTeñge na jaane māh-o-sāl
apne jismoñ se judā ho ke jo saa.e ban ga.e
dil ke aangan mein wo lahraati hui parchhaiyan
aur kiwaDon par wo pyasi dastaken
zehn par chhaya hua bedar KHwabon ka tilism
be-mahaba dhaDkanen
dhaDkanon ke saz par lamhat ka sail-e-rawan
barha ubhre hain apne aansuon mein Dub kar
barf-bari ka ye mausam
aur yaKH-basta faza
dur tak zulmat ke kohsaron ka andha silsila
kaise kaTenge na jaane mah-o-sal
apne jismon se juda ho ke jo sae ban gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.