taskin ke paikar mein Dhali nat kahi
taskīn ke paikar meñ Dhalī naa't kahī
jab shiddat-e-āzār baḌhī naa't kahī
juz is ke kisī kā bhī sahārā na liyā
jab ġham se rihā.ī na milī naa't kahī
is sinf ko allah ne ye e'zāz diyā
qur.ān kī sūrat meñ jalī naa't kahī
jis vaqt madīne kā ḳhayāl aayā mujhe
sarkār-e-do-'ālam kī koī naa't kahī
maiñ ne gul-e-chīda ke taqarrub ke liye
gul-hā-e-chunīda se guñdhī naa't kahī
jab jab ġham-e-duniyā ne pareshān kiyā
har baar salīqe se na.ī naa't kahī
is Dor kī mazbūtī musallam hai 'sahar'
jab ḳhatm har ummīd huī naa't kahī
taskin ke paikar mein Dhali na't kahi
jab shiddat-e-azar baDhi na't kahi
juz is ke kisi ka bhi sahaara na liya
jab gham se rihai na mili na't kahi
is sinf ko allah ne ye e'zaz diya
quran ki surat mein jali na't kahi
jis waqt madine ka KHayal aaya mujhe
sarkar-e-do-'alam ki koi na't kahi
main ne gul-e-chida ke taqarrub ke liye
gul-ha-e-chunida se gundhi na't kahi
jab jab gham-e-duniya ne pareshan kiya
har bar saliqe se nai na't kahi
is Dor ki mazbuti musallam hai 'sahar'
jab KHatm har ummid hui na't kahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.