mohammad mustafa ka jab kisi ke lab pe nam aaya
mohammad mustafā kā jab kisī ke lab pe naam aayā
farishtoñ kī mubārakbād hūroñ kā salām aayā
ba-qadr-e-'aql dī tauhīd kī tā'līm duniyā ko
'ajab andāz se ye rahbar-e-har-ḳhās-o-'ām aayā
jafā sah kar vafā kī gāliyāñ sun kar du'āoñ meñ
mire maulā ke dil meñ jab ḳhayāl-e-intiqām aayā
bure un ke bhale allāh ke haiñ to gunahgāro
tumheñ kyuuñ ḳhauf-e-dozaḳh hai jo ye e''lān-e-ām aayā
mohammad hāmid-o-mahmūd-o-ahmad ism-e-ā'zam haiñ
ye naam aa.e zabāñ par kāmrānī kā payām aayā
madīna aisī arz-e-pāk jis ke zarre zarre par
malā.ik sar-ba-sajda ho ga.e jab ye maqām aayā
na rakkhī jis ne nisbat sarvar-e-kaunain se 'tābāñ'
na duniyā us ke kaam aa.ī na 'uqbā us ke kaam aayā
mohammad mustafa ka jab kisi ke lab pe nam aaya
farishton ki mubarakbaad huron ka salam aaya
ba-qadr-e-'aql di tauhid ki ta'lim duniya ko
'ajab andaz se ye rahbar-e-har-KHas-o-'am aaya
jafa sah kar wafa ki galiyan sun kar du'aon mein
mere maula ke dil mein jab KHayal-e-intiqam aaya
bure un ke bhale allah ke hain to gunahgaro
tumhein kyun KHauf-e-dozaKH hai jo ye elan-e-am aaya
mohammad hamid-o-mahmud-o-ahmad ism-e-a'zam hain
ye nam aae zaban par kaamrani ka payam aaya
madina aisi arz-e-pak jis ke zarre zarre par
malaik sar-ba-sajda ho gae jab ye maqam aaya
na rakkhi jis ne nisbat sarwar-e-kaunain se 'taban'
na duniya us ke kaam aai na 'uqba us ke kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.