chaa.ndnii chhaTkii hu.ii hai har taraf
raushnii hii raushnii hai har taraf
ek aurat baam par hai jalva-gar
charKH-e-niilii-faam par jaise qamar
god me.n hai ek bachcha shiir-KHvaar
pyaar kartii hai use vo baar-baar
kah rahii hai chaa.nd ko vo dekh kar
tujh se achchhaa hai miraa nuur-e-nazar
nuur jo is me.n hai vo tujh me.n kahaa.n
tujh me.n kab hai.n jo hai.n is me.n KHuubiyaa.n
merii aa.nkho.n kaa hai taaraa nuur-e-‘ain
merii aa.nkho.n kii hai ThanDak dil kaa chain
kyo.n na chuumuu.n is kii do aa.nkho.n ko mai.n
chaa.nd se chehre pe do taare ye hai.n
chaa.nd tere mu.nh pe kab hai aa.nkh naak
kyaa nazar-bhar kar tujhe dekhuu.n mai.n KHaak
chaa.nd kaa Tuk.Daa hai ye bachcha miraa
laKHt-e-dil laKHt-e-jigar maa.n-baap kaa
dekh kar is ko tujhe dekhuu.n mai.n kyaa
duur tuu nazdiik meraa laaDlaa
meraa bachcha mere ghar kaa hai charaaG
dekh kar hotii huu.n is ko baaG-baaG
chaa.nd kyo.n tuu dekhtaa hai ghuur kar
mere bachche ko na lag jaa.e nazar
chaa.nd Daalegaa KHalal aaraam me.n
ab chalo nanhe ki jaa kar so rahe.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.