loriyaa.n aur pariyaa.n
merii ammii miiThe sur me.n gaatii hai.n jab lorii
jaane kahaa.n se aa jaatii hai.n pariyaa.n gorii-gorii
kyaa jaane vo mujh par kaisaa kar detii hai.n jaaduu
ammii yaad aatii hai.n mujh ko aur na apne abbuu
apne sunahre rang-birange pa.nkho.n ko phailaa kar
jaane kahaa.n le jaatii hai.n vo mujh ko chorii-chorii

roz raat ko aa jaatii hai.n garmii ho yaa sardii
kyaa jaane kyo.n un ko mujh se hai itnii hamdardii
yuu.n har ek parii u.Dtii hai mere piichhe-piichhe
jaise chaa.nd ke piichhe-piichhe bhaage ko.ii chakorii

apne ghar le jaa kar mujh ko detii hai.n vo khilaune
khaane ko milte hai.n mujh ko tarah tarah ke done
jitnii jii chaahe khaa.uu.n mai.n jitnii jii chaahe phe.nkuu.n
mere aage hotii hai ik shiiriinii kii borii

saarii raat dikhaatii hai.n vo mujh ko chaa.nd sitaare
lekin sub.h se pahle aa jaatii hai.n mere dvaare
aur mujhe pahuu.nchaa detii hai.n phir apne jhuule me.n
mere haatho.n me.n pak.Daa kar KHvaabo.n kii ik Dorii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.